Usne toh har lamha mujhe azmaya tha
Apne hisaab se mujhse rishta nibhaya tha
Uske saath toh main har baar thi
Mere saath hi bas uski doori thi
Be-waqt bhi usne mujhe apne pass paya tha
Apne waqt mein bhi vo mera ho nahi paya tha
Meri duaoon ka hissa toh vo har pal tha
Par vo mujhe apne lafzoo mein bhi yaad na kar paya tha
Uske mann ke hisaab se uska anna jana toh lga rehta tha
Bas mere hi mann ki vo kabhi jaan na paya tha
Uske baaki apno ke saath toh usse haste dekha hai maine
Shayad vo mujhe kabhi apna bna hi nahi paya tha
Likhi toh apni kahaani usne khud ke hisaab se hi thi
Bas main usmein kabhi chaha aur un-chaha sa kissa thi
Uske khaas toh bahut the uski zindagi mein
Main jane anjane ik mamuli sa hissa thi !!-
Note to self on a bleeding days,
Do whatever you want to do
Drink a cup of coffee or take a sip of tea
Become a couch potato or be a active fire
Go to the kitchen, touch a pickle
Go to the pooja room, worship a tulsi
Do not let anyone to separate you from anything
You should know you are not impure
Infact you are pure like a oyster's pearl
Celebrate your menstrual period
Pamper yourself, Shop for yourself,
Eat your favourite food, Watch your favourite shows,
Give time to your hobbies
Talk about your menstrual phase openly
Do not hide it from your Dad or Brother
Take the menstrual pads or cups without feeling shame
Do not cover them with newspaper or black carry bag
You should know and tell everyone that
It is a common and essential phase in every girls life
Do not normalize your menstrual pain
Treat yourself with proper treatment
You should know periods are normal but period pain is not normal
Break all the taboos, become a free bird
And enjoy your beautiful menstrual phase !!
-
Hmari zuban khamosh thi,
Par ankho mein alfaaz the,
Bheed mein mulakatein thi,
Aur kuch ajnabi se ehsas the !!
-
Hmari pehli mulakat kuch aisi thi
Logon ki bheed mein uski nazar sirf mujh pr thi
Uska yun baar baar mujhe dekhna asmanjas mein toh daal rha tha
Par na jane kyu meri nazar bhi uss pr hi tiki thi
Main bheed mein uska mujh ko dekhne ka karan bhi ni puch pa rhi thi
Aur usne bekhauf hokr mujhse sab ke samne mera naam hi puch liya
Mujhe lga tha yeh mulakat bs yhi pr simat kar reh jayegi
Par kha janti thi ismein itne mod ayenge ki yeh ik kahaani bn jayegi !!
-
Ik galti ki vajah se maine use kho diya
Ya uska irada hi mujhse door jane ka tha
Mere nadaani itni badi thi
Ya uska saath chodne ka yeh bhana tha !!-
Maana ki ab hum sath nahi
Yeh bhi sch hai ki ab pyaar nahi
Fr bhi kabhi tu nazre na milana
Iss dil ka itbaar nahi
Maana ki ab hum sath nahi
Yeh bhi sch hai ki ab pyaar nahi
Kabhi raaste mein milo toh
Dekh ke bhi tum muskurana nahi
Maana ki ab hum sath nahi
Yeh bhi sch hai ki ab pyaar nahi
Nazro se na karna tum vo baat
Jisse mujhe inkaar nahi
Maana ki ab hum sath nahi
Yeh bhi sch hai ki ab pyaar nahi
Khat jo hain tere pass unko jla dena
Par kabhi pdh kr sunana nahi
Maana ki ab hum sath nahi
Yeh bhi sch hai ki ab pyaar nahi
Kabhi bhi tumhe meri yaad aye
Mere pass lautkar anna nahi
Maana ki ab hum sath nahi
Yeh bhi sch hai ki ab pyaar nahi !!-
Nahi chahte the tum mujhe apni zindagi mein,
Toh ja rahi main tumhein chod kar,
Bas ab tum apna khyaal rakhna,
Apne kamm mein mat lage rehna pura din,
Kuch dhyaan apne khaane peene par bhi dena,
Tum jaldi sokar jaldi utha karna,
Aur bewajah preshan mat hua karna,
Bas ab tum apna khayal rakhna,
Manna mujh mein thoda gussa tha,
Aur tumhein mujhse preshani bahut thi,
Lo tum ab azaad ho,
Ab khud ko inn sab se door rakhna,
Bas ab tum apna khayal rakhna,
Na hi ab tumhe koi gussa dilayega,
Aur na tere ruthne par koi tujhe mnayega,
Na hi baat baat par koi khich khich krega,
Aur na hi tera dimag khayega,
Ab tum inn faltu ki baaton ko na yaad rakhna,
Bas ab tum apna khayal rakhna,
Agar kabhi bhule bhatke meri yaad aa jaye,
Toh hmari baaton ko yaad kar lia karna,
Aur agar kro kabhi kisi aur se pyaar,
Toh vo meri jaisi na ho iss baat ka dhayan rakhna,
Bas ab tum apna khayal rakhna !!
-
Meri ik galti ke liye
Usne mujhse doori bna li
Apne gusse ke agge
Usne mere pyaar ko bhi bhula diya
Na jane
Ab tak rhegi yeh uski ruswayi
Jisne mujhe andar tak tod diya !!
-
Na jane meri ek nadaani ki sazaa mujhe woh kab tak dega,
Kya pta hmesha sath rhega ya fir beech safar mein chod dega !!
-
Na jane kab tum se itna pyar ho gya
Ki maine tum mein khud ko hi kho diya
Yun toh main kisi ki baaton se nahi pighlati thi
Lekin na jane kaise tumhari baaton pr dil de diya
Main khud ko kamm mein mashroof rakhne vali thi
Aur tumhare khyaalo mein maine apne kaamo ko hi bhula diya
Pyar karna toh main jaise bhool hi gayi thi
Par tumne mujhe vo fir se sikha diya
Mujhse door hone ka ehsas dilakar
Tum mere liye kitne khaas ho yeh mujhe bta diya
Nahi socha tha kabhi kisi ko khud mein shamil hone dungi
Par tumne aakar mujhe apna bna liya !!
-