Lagta hai ab Unke yahan shaam hi nahi hoti…
Joh bolte the har shaam tumhe yaad karenge,
ab woh hi koi shaam jaisa dhal gaye..-
Pita..
Yeh ek shabd nahi..
Naah hi koi ek insaan hai sirf..
Yeh toh woh ehsaas hai joh hume samjhata hai ki khuda hai iss duniya mein…
Joh maanga woh paaya…
Har kathinayi mein tera hi sahara paaya..
Chahe parivar ho ya dost ho, sabko tumhne apne dil mein ek jaisa hi samaya…
Duniya ki bhaag daud mein bhool jaate hum bahut kuch,
Per aapne har par apna pan sabko mehsus karwaya hai…
Humari neev majbut banake hume khud ke bal per bada hona seekhaya hai aapne…
Humari Har zidd ko sanjha kiya aapne..
Ab aap bhi karlo thodi zid aur sanjha karne ka mauka do hume..
Har Khushi di aap aur maa ne ab Har khushi hum de aap dono ko zindagi mein..
Iss rab se aur Kya maangu jab tak sans ho aapka hi saaya humesha maangu…-
Khud se mohabbat karna bhi toh ek tarfa pyaar hi hoti…
Joh khud se karlete toh aur kissi ki mohabbat zarurat hi nahi hoti..-
We hang on to the emotions of people not meant to us & that creates memories..
-
Ab tujhse pyaar ka izhaar nahi karunga..
Ab mein iss pyaar ko bewaqt naa barsaunga..
Ab bus dosti ko aval rakh ke pyaar ko dabaunga..
Ab joh pyaar ek tarfa hai uske liye khud ko nahi tadpaunga..
Samajh toh aaya ab pyaar ho toh Rakho khud mein naa bano kisi aur ka bojh…
Aur dosti toh baato iss kadar se ki kissi ka thali bojh …-
EK SHAAV YAATRA AISI BHI..
Ek shaav yaatra Aisi bhi..
Naach rahe the gulal ke anek rango beech..
Dang the dekhne wale aisa josh aur ulaas shaav yaatra ke beech,
Maano jaa Raha tha bansuri wala brijgopal…
Jaise maut nahi bus jeevan ka ek ahem hai yeh pal..
Gammo ke bojh dube huo ko khushiyo mein jeena seekhate hue jaa Rahe the..
Jaise maano bhrama, Vishnu aur Mahesh Usse lene aarahe the..
Kaale darwane badal zindagi mein bhi,
Khushiyo se jeena seekha rahe the…
-
Ishq mein hai
Aur hosh mein bhi!!
Janab yeh ishq ka nasha hai
Naa koi roz ki baat hai!!!-