Kisi ke aakhri alfaaz bhi bade qeemti hote hain, to kisi ki pehli mulaqat...
kabhi yeh sabaq e zindagi banjate hai to kabhi wasiyat e aam.-
Fitrat e yaar to hamesha hi khudgarz thi, phir kyun huwe ummeeedon on izaafe faraaz...
Hote agar tum bhi kuch khudgarz to shayad afsos kuch kam hota.-
Usool e yaar bada seedha tha...
Ke umeed e wafa muhabbat main aur dugna nafa tijarat main bas halaal raaste main hi milta hai.-
And finally you found the right means to bring things straight to the point, may be it's all about correct timing and approach which took a while to be realised.
-
Zaati kamiyaan bohat hai mujhme, phir kyun main dhoondun auron main qaami..
Hota main kaamil agar, to shayad baat kuch aur hoti.-
Jeene ki fikr nahi hai mujhe, bas zimmedariyon ne Zinda rakha hai.
-
Usool o qayede bohat la liye gaye hain Amal e zindagi main faraaz,
Koi aisa shauq bhi karao jisme ulfat e zindagi bhi mile aur sukoon e dil bhi.-
Mujhe beemaar o zayeef na kaho, mujhse roothkar mujhe beimaan na kaho...
Kaho ke guzra hai zamaana meri umr ke saath saath mere humdum..
Mere jeete jee mujhe bejaan na kaho.-
Jab iqtiyaar e jazbaat na ho to har faisle par shak qayam rehta hai.
-
Qubool e tauba ka miyar niyyat hai, chahe laakh Gaal peeto ya aansoo bahao...
Dil se mehsoos na kiya gaya to yeh sab dikhawa hai.-