Tujh par itna pyaar jo aarha,
Yehi khayaal bas baar baar aa rha,
Kis fursat se milaya hai us khuda ne tujhse mujhko,
Bas tera hokar reh gya
Ab apna na rha!!!!!-
Is kadar jo mujhe tujhse mohabbat ho gyi,
Tujhme rab dekhkar uski ibadat ho gyi,
Chehere to laakhon hai haseen is jahan me,
Tere chehre ko nihaarne ki bas, ab mujhe aadat ho gyi!!!!!
Bas mujhe aadat ho gyi!!!!!-
Uski vo halki si taali
Zubaan par uske vo teekhi si gaali,
Dono par meri nazar hai,
Uske vo geele baal,
Sharmaye hue laal laal gaal,
Dono par meri nazar hai,
Uski tooti footi si hindi,
Uske maathe ki choti si bindi,
Dono par meri nazar hai,
Uska muskurahat bhara chehra,
Uske aankhon par kajal ka pehra,
Dono par meri nazar hai,
Uski bechani bhari raate,
Uski ankahi hui baatein,
Dono par meri nazar hai,
Uske bebaki bhare andaaz,
Har din ke agaaz par meri nazar hai,
Fir bhi na jaane kyu deedar ko uske,
Nazre meri bekarar hai,
Nahi pata mujhe, horha hai kyu esa mere saath?
Shayad isiliye log isko kehte nasamjh pyaar hai,
Kehte nasamjh pyaar hai!!!!-
Kisi din aana,
Tasalli se aana,
Beth kr baatein karenge,
Aana,
Bina banaye koi bahana,
Bas tu aana,
Saath me kisse gadenge,
Itminan ki ghadi lekar,
Ek do pal nhi,
Pure peher tujhse guftugu karenge,
Tu aana,
Bas chale aana,
Aage ke liye chal saath me,
Kuch yaadein bunenge,
Tu aana, ab bas jaldi se aana,
Tab tak tera bas intezaar karenge,
Intezaar karenge!!!!-
Mana ki jis se mohabbat hai mujhe uska didar mumkin nhi,
Par ye bhi to sach hai us pr jitna aitbaar hai,
kisi pr vo aitbaar mumkin nhi!!!!-
Ese jo ruthoge humse har dafa,
kese bayan dil ki baat kr paunga,
Faasla hai itna darmiyan humare,
har baar bas keh ke thodi mana paunga.....-
Ishq ne tere kesa sitam kiya?
Tumko tum kia, humko hum kiya,
Taakte rahe chaukhat hum intezar me tere,
Taakte rahe chaukhat hum intezar me tere,
Tum ko bharke khushiya di, humko sirf gham diya????-
Ishq ne tere kesa sitam kiya?
Tumko tum kia, humko hum kiya,
Taakte rahe chaukhat hum intezar me tere,
Taakte rahe chaukhat hum intezar me tere,
Tum ko bharke khushiya di, humko sirf gham diya????-
Vo aayi,
Muskurai,
Zulfon ko apne nazakat se lehrai,
Dekh qamar ko thoda itrai,
Uske chehre ka noor dekh,
Chand ki roshni bhi ghabrai,
Sitaro ko usse ishq farmata dekh,
Thodi si sharmayi,
Dudh se safed us libaas me achanak,
Aaj vo sabko pari nazar aayi.-
Hum to khade the mehfil me dosto ke saath,
Vo fir ek pavan ke jhoke si aagyi,
Dekha ek tak un nazron se hum ko pal bhar,
Ek pal me hi fir ek baar saari duniya bhula gyi....-