Ishq tha bepanah aur ashiqui bhi besumar
Bewafa toh pura shahar hua tha
Aur tham gayi thi us raat chand ki bhi umar...
-
Still trying to pen down thoughts n emotions
Help me to cr... read more
Gumsuda raston par,ek ajnabi se mulakat
Kuch apna sa laga...
Manzil toh phir bhi dur thi,
Lekin safar wohin par khatm ho gaya
-
Mujh me ab bhi tu zinda hei
Thoda apna thoda paraya se hei
Nazdikiyon se bhi gehra natta hei
Zindagi...tu aaj kal phaslon me zinda hei-
Chalo ek akhri dua hei meri
Ke tera har baddua mujhe lag jaye
Ho sake toh janaaze par bhi na ana mere
Ke akele chalne ki adat hi chhut jaye-
Ek rishta yunhi adhura rah gaya
Ek sur zara sa betaal ho gaya
Jis chand ko niharte rahe raat bhar
Woh ujale me khud hi kho gaya-
Ghar mujhe pahchante ho na
Diwar par woh hatho ka chhap abhi mita nei hei
Kalash ka pani bhi bhara rakha hei
Suno... Is baar aaun toh darwaza zara pyar se kholna
Kyon ki koi aur nei sahi par tum toh mujhe pahchante ho na
-
Ye dooriyan bhi ab achhi lagti hei
Dobara milne ki aas me dil me thodi hulchul machi rahti hei-
Mujhse hi meri taqat
Mujhse hi meri pahchan hei
Ye khushi ke ansu ye dard ke lahu
Meri har lamhe par sirf mera hi haq hei
-
Gulab ne kaha gar mujhe pana chahte ho toh...
meri kanto ko bhi apna banao
Main toh yuhin murjhane ko tayar hun...
Meri dali se thoda jyada pyar mujhse karke dikhao-
Taras gaye hum thodi si roshni ko
Andheron nata ab mushkil sa ho raha
Ladna jhagadna band bhi karo ab
Khuda ki rahmat bhi khatm sa ho raha-