Charu M   (Charu)
8 Followers · 4 Following

Joined 20 March 2017


Joined 20 March 2017
26 SEP 2024 AT 18:25

Shayeri ke bhi kuch usool hai
Hum lavzon se gehre zasbaaton ka byaan karte hai
Gehrai kitni hai, isme wakt zaya nhi kia karte

-


8 MAR 2024 AT 12:34


Tu Shakti hai
Tera astitv itna gehra hai
Ki khud mahadev bhi tere bina adhoora hai..
Tu sochti hai, tujhme aadmi jaisi taakat nhi
Phir bhi tere kandhe pr har admi ka bhoj thehra hai.

Bhala kabhi titliyo k bina phoolo me koi maza hai
Bhala chidiyun k bina, aaasmaan koi saja hai

-


26 JAN 2024 AT 14:18

Jab bhi zindagi mushkil lagne lagti hai
or hausla kamzor padne lagta hai
Bus tab hum is dil ko samjha lete hai
Ki fauzi khoon kabhi zindagi se haarta nahi

-


22 JAN 2024 AT 9:37

Jhooth tu dohraaye 100 dafa
To bhi vo sach na hove
Ab vo krenge faislaa
Kon paave or kon khoye

-


22 JAN 2024 AT 9:30

Ye kalyug hai,
Yahan ghar ghar me
Har din sita ki agni pariksha hoti hai
Yaad rhe is baar
Agar Ram lautenge to koi agni pariksha na ho
Kisi naari ka tiraskar na ho
Yaad rhe is baar
Agar Ram lautenge to koi pita bebas na ho..
Chall pe sachai ki jeet ho
Siya ram ka preet ho

-


18 JUN 2023 AT 13:19

Zindagi se ladna
Khudpe naaz karna
Galat ke aage kabhi na jhukna
Baar baar girkar uthna
Sher banke akele raston par chalna
Fauzi jaise zindagi jeena..

MAine Apne Papa se seekha hai

-


7 JUN 2023 AT 23:56


Vo nam ankhon ke dard
Ke aage un galon ka dard jyada kum lga

-


14 FEB 2023 AT 21:36

Is sach jhuth ke safar pe
Tum dhayan mat dena
Vo shor logon ka ansuna kar dena
Tum sahi ho ye sabko batana zaruri nhi
Sach ka koi pramaan nhi hota

-


24 JAN 2023 AT 8:38

Sab kuch baad me ho sakta hai
Bus tum apne lie wakt zarur nikalna

-


14 JAN 2023 AT 14:10

Khud ko dusro ke tarazoo me na tol
Teri keemat kisiko btana ab zaruri hi nhi
Jo na samajh hai unko samjhaana bhi hai kyu
Tu kya hai ye btana ab zaruri hi nhi

-


Fetching Charu M Quotes