Mohobbat-e-banaras
Ek banarsi par Dil aaya hai mera
Banaras shehr kaa sherr
Banaras isme or vo banaras me basta hai
Banaras ki sadko par jitna शोर hai
Utni usme शांति hai
Ganga Nadi me jitni चंचलता hai
Utni usme शरारत hai
Banaras ke khane me jitna स्वाद hai
Utne uske अंदाज़ hai
Jitni प्यार banaras ke logo me hai
Usse kahi jyada uske दिल me hai
Jitna सूरज ugate huye khush hota hai
Utni uski ankho me खुशी hoti hai
Jitna Chand me नूर hai
Utna usme सुकून hai
-
If you like me you are on right path...if you don't like me get a map ... read more
Khwaishon ke badal pe sawar wo sabki hasi hai,
Jo ghira ho koi dost adhere mai to wo uski roshni hai,
Haath thama agr usne to wo manzil tak ki saathi hai,
Jo ruth jae wo kisi se to jahan bhar ki bechaini hai,
Wo rishto ke bandhan se pare sabki Khushi chahti hai,
Saadgi sa Jeevan uska, pr usse apne pariwaar ki har tamanna puri krni hai,
Koi has kar do pal usse baat kr le wo itne mai santusht ho jaati hai,
Na jaane wo aisa kaise kr leti hai,
Kisi se koi shikwa nhi usse,
Bs wo rishto ke bandhan se pare sabki Khushi chahti hai,
Wo ek bache si bholi hai,
Wo puri duniya ko haseen smjhti hai,
Usse logo ki pehchan bhele hi nahi,
Pr wo rishto ka mehtva bakhubhi smjhti hai,
Shayad isiliye wo rishto ke bandhan se pare sabki bs khushi chahti hai,-
Mulakaat
Aise to hum roj hi milte the
Lekin aaj kuch alag baat thi
Usne pyar jatane ke lia pass nahi bulaya tha
Usne pyar jatane ke lia pass nahi bulaya tha
Pyar karta hu ye batane ke lia bhi pass nahi bulaya tha
Chupke se apni baaho me Yun bhara usne mujhe ki meri puri zindagi ek pal me hi samet li usne
Naa kuch kehnaa tha mujhe
Naa kuch sunna tha use
Bas baaho me hi bandhe rehnaa tha hume...-
Tu dost hai mera
Ya yu kahu dost se thoda jyada ban gaya hai
Meri nadaniya, badmaashiya, shararte
Naa jaane kyu tere hi samne khil jati hai
Ankho me ruke aansu bhi tujhe dekh kar
Chalak jate hai,
Baat naa karte huye bhi kitni bak bak karne laga hu me
Khud kaa sara waqt bhi tujhe dene laga hu me
Kabhi ruthio nahi , sehna muskil hoga mere lia
Par tujhe manana bhi asaan nahi hoga mere lia
Tu janta nahi hai par tu bhut khas hai mere lia
Shayad isliye tu dost se thoda nahi bhut jyada hai mere lia-
Me aur mera khubsurat sa sapna
Ek raat to ho aisi jab pass mere vo ho
Raat ki chandani me baat Chand ki hargiz naa ho
Ankho me nind ka Toofan chal raha ho, phir bhi usse baaton kaa silsila khatam naa ho
Hath thaam ke uskaa ek raat me bhi to sou
Pyaar se use bulaa kar uske kaano me mein bhi to kahu...-
Pad rahe hai meri ankho ko
Bina labzo ki madad se vo
Khuda hi jaane kaisi mohobbat mukammal kar rhe hai vo-
Hoth to khamosh hai
Lekin Ankhe bol rhi hai
Naa jaane bina tumse kuch kahe kitni baaten ho rahi hai-
Sukoon se Chup hona chah rahi hai ankhe meri
Per tumhra sparsh nhi hai inme
Mehsoos to hai par ehsaas nahi hai inme-
gun gun gaano ka safar chl rha tha
humare darmiyaan,
hum bhi anjaan the uss safar se jo bina bole hi
ek bekhauf sa bandhan band rha tha
humare darmiyaan,
naa puch me saki , na bata vo paya
jo darmiyaan chl rha tha
Khushi thi yaa bas ehsaas
Inse anjaan tha ye safar
Ye safar yaa yun kahe ki humara safar.-
Tu dost hai mera
Ya yu kahu dost se thoda jyada ban gaya hai
Meri nadaniya, badmaashiya, shararte
Naa jaane kyu tere hi samne khil jati hai
Ankho me ruke aansu bhi tujhe dekh kar
Chalak jate hai,
Baat naa karte huye bhi kitni bak bak karne laga hu me
Khud kaa sara waqt bhi tujhe dene laga hu me
Kabhi ruthio nahi , sehna muskil hoga mere lia
Par tujhe manana bhi asaan nahi hoga mere lia
Tu janta nahi hai par tu bhut khas hai mere lia
Shayad isliye tu dost se thoda nahi bhut jyada hai mere lia-