Usne puchha, kya hua?
Pyar khatam hogaya?
Maine kaha, nahi bilkul nahi..
Aaj bhi utna hi pyar hai tumse
Aaj bhi awaz sunne ko taras jaati hun..
Tumhari ek jhalak ko tadap jaati hun..
Par koshish bas itne tak ka hi tha..
Rishta nibhane ki jimmedaari ab tumhari
Thak gayi hun main..
Thoda araam karna hai..
Tumne hi kaha tha na
Pareshan ho mujhse
Aur pareshan karna nahi chahti..
Agar tumhari khushi mere bina hai
Toh wahi sahi..
Khamoshiyon k saath ghul mil jaungi
Tumhare khatir ab ye bhi sahi..
Kabhi yaad aaye toh dhundte huye aana
Wahi khadi milungi tere intezaar mein..
-