Bachpan maa ki god me, bachpana behno se ladhne me tha,
Kabhi wo pyaar thi, kabhi takrar thi..
Zindagi ke har roop me uski jagah beshumar thi,
Kabhi beti, bahu ya saas thi, esi konsi bhumika thi jo usne na nibhayi thi,
Kabhi desh ko chalaya, kabhi duniya ko padhaya, kabhi asman ko chhua to kabhi jameen se naata joda..
Esi har aurat ko Salam h, jisne har mushkil ko par kar
Khudse khudka nata joda..-
Wo shayar tha, jazbaat likhta chala gaya..
Log bas alfaaz sunkar, wah wah karte chale gaye...-
Apki pyaar aur duaao se mahak utha din mera,
Kash itna hi khubsurat hota zindagi ka har savera..
Aj pata chala kitni sari Daulat mene kamai hai,
Apki shubhkamnao se meri janmadin ki sham jagmagai hai...
Thanks a lot for making my heart smile and making my eyes shineβ€ππ-
Ajkal khudse pehle se bhi jyada pyaar hote ja raha hai..
Kisi ke aane ka intezar hote ja raha hai...
Dil ke darwaaze to ab bhi band hai...
Par pata nahi kyu, koi ajnabee dastak dete ja raha hai...-
Humse pahle bhi kai aye the..
Humare bad bhi kai ayenge..
Kuch tumhe samjhenge, aur kuch samjha kar chale jayenge...
Mai ruki rahungi us pal me bhi,
jab sab tumhe akela kar jayenge...β % &-
Ek faisla hum kar baithe hai ..
Faisla tumhe bhul jane ka, tumse fasla badhane ka ,
Faisla khud ke karib jane ka, apni kismat ajmane ka...
Ek faisla hum kar baithe hai,
Ab kabhi lautakar bite kal me na jane ka....β % &-
Sab kuch gawa kar bhi khush rahna koi tum se sikhe..
Fakiri me bhi dil ki amiri koi tum se sikhe..
Itni sadagi se jee lete ho zindagi,
koi is matlabi duniya me bematlab pyaar karna tumse sikhe..β % &-
Mera dil ab bhi, badi asaani se sab par yakeen karta hai...
Par mera dimag yakeenan har pal tumhe shaq ke daayre me rakhta hai...-
Bada ajeeb dastoor hai, jaha hum kisi apne par bhi bharosa nahi kar paa rahe ..
Waha kisi ajnabee ke saat janam sath nibhane ke waado par aitbaar karna hoga..
-
Suna hai tum ishq par kitaab likhne ja rhe ho,
Kisi aur ko apni kahani me khaas likhne jaa rhe ho...
Par sach hum jante hai ki, tum jhuth behisaab likhne ja rahe ho...
Hume andheri raat batakar kisi aur ko mahtab likhne ja rahe ho...
Suna hai tum ishq par kitaab likhne jaa rahe ho...
-