Har ek mushibat tujhe kaabil banaayega
Jeet nehn to ek baar fir ladhnaa sikhaayega
Saayad paane ki umeed main maidaan main utaarega
Har khoon aur pashinon ka hisaab lagaayega
Aaj nehn to kal tujhe baazigar kehlaayega-
Haar ki aag andar kab tak rahega
Ek din lava ban kar nikal hi jaayega
Tere har koshis pe uss haar ko v naaz hoga
Jisne tujhe haraa kar khud ko khilaadi samjhega
Uss jeet se bahut kichh miltaa
Par haar ne tazurbaa hi de diyaa-
Ae zindegi tera laakh laakh shukar har uss mushibat ke liye...
Ek baat waqt ne bataa diyaa hai
Zindegi usiko mushibat main daalta hai jisme jhelne ki kabiliyat hai... Aur hum wo din khus nehn the jab mushibat thaa par aaj khus hain ki ladhna seekh gaye...
Haar haar kar aage badh rahe hain ...
Haar ka v ek din haar hota hai...-
Kaamp raha thaa andar ki maar se
Jeet ke dhindoore nagar main sunaai de raha thaa
Sirr uthaane ke liye himmat nehn thaa phir v khadaa thaa umeedon ke saaath
Mukhde pe chot laag raha tha
Saansein v ukhaad raha tha
Andhere ghane ho rahe the
lekin andhere anant nehn
aur girr jaana Mera anth nehn
Fir lautunga gir gir kar fir khadaa ho jaaunga
Kab tak ye aankhon se angaare dekhta rahunga-
Waqt tu sharam kar thodaa
Itnaa boora v koun ho sakta
Sab kuchh toh chhen liya
fir v niyaat nehn badal sakaa
-
Kuchh yaad aise aate hain ki
hum saans nehn le paate the
Roote the to raat ujad jaate the,
haste the to din ban jaate the..
Mumkin hotaa to uss sab ko bhool jaate
par ek yaad hai jo yaad se kabhi nehn jaate-
Yoon to suraj nikalte hain roz ,par ab ujaala hin nehn milta hai
Din andheroon main aur raat chandni main kat raha hai
Bekhabar hain anjaan v hai khud ab khud se laapataa v hai
Laut v aaa ab bachpan ab thoda aur jeene ko jee karta hai
Manjil ki khabar nehn,fir v musaafir ki tarah safar aaj v karne ko jee karta hai-
Dil ke gehre sannaton se baat kiya hai maine
Haalaton ke unn pahadon se akela ladha hai maine
Waqt ki unn jakhmon ko bharaa hai maine
Baarsion ke unn boondon main bheeg ke royaa hai maine
Kabhi unn khwaab ke unchaaiyon se nazar utha ke dekhna wahan akela khada tha maine
Baat zeher ki thaa tab amrit samajh ke piyaa tha maine
Duniya ko kya wo to aaj v samajhta hai kisine saahara diya hai maine-
Hauslon ka saahara hai , hathiyaar to aaj v nehn hai
Kehne ko mushibat raaste pe hain...
Sach to ye hai ki ab andheron se v ujaala milta hai-
Do waqt ke khaana
Cheen liya hai kitnaa
Ye unse poochna
Jo bech di apna sapnaa-