BINAY-The Night Writter   (BINAY)
390 Followers · 773 Following

read more
Joined 16 April 2018


read more
Joined 16 April 2018
17 AUG AT 19:30

Ek ladki hai deewani si,
Baatein uski purani kahani si,
Hansi mein chhupi sharaarat ka rang,
Aankhon mein sapno ka ek umang.
Dil ke jazbaat ko chupana jaanti hai,
Par har lamha mohabbat barsaati hai,
Woh aayi to jaise bahaar aa gayi,
Mere sukoon ki wo ek matra wajah ban gayi.

-


17 AUG AT 19:18

Ab ye dooriyan raas nahi aati,
Har ghadi bas teri yaadon ko saath le aati,
Dil ke har kone mein teri tasveer basaayi hai,
Phir bhi khamoshi mein ek tanhaai si chhayi hai,
Chaahe jitna samjhaun apne dil ko main,
Woh har dhadkan mein tera naam hi sunata hai,
Door rehkar bhi tu paas lage itna,
Magar samay ka faasla todh na paata hai.

-



Log tumhaare paas sirf tab tak hote hai,
Jab tak tumhaare paas koi aur nahi hote hai,
Jab dil mein kisi aur ka saya utar jaata hai,
Purane saaye bhi chupke se bichhad jaate hai.
Jo kehte the hum tumhare humsafar hai,
Wahi raaste badal kar ab muqaddar ke safar hai,
Jo hans ke tumhare gham ko mita jaate thee,
Ab nigaah chura ke khud ko bachaa jaate thee,
Pata chala, wafaa bhi sirf moqa dekh kar hoti hai,
Mohabbat bhi sirf apni zaroorat poori karke khoti hai,
Aur insaan sirf tab tak apna lagta hai,
Jab tak hum uski kahani ka ek zaroori kirdaar lagte hai.

-


12 AUG AT 13:43

Kabhi mauka hua nahi bataane ko chalo aaj dil se iqraar karte hai,
Jinhe tum roz aaine mein dekhti ho unse hm behad pyaar karte hai.

-



Kal shayari likkhtha likhta so gya,
Tere khayalo mein na jaane kaha kho gaya,
Utha to paaya khudko teri baahon mein,
Socha sapna hoga isiliye phir so gaya.

-



Tumhe nazar andaaz karun mughmein itna guroor kaha,
Tumhe dekhu nazar bharke meri aankho mein itna noor kaha.

-



Kal raat apne saare ghum aasmaan ko suna diya maine,
Aaj mein chup hun aur aasmaan barasne laga.

-



Nazar ko nazar ki nazar na lage,
Koi accha bhi iss kadar na lage,
Dekha hai jabse tughe iss nazar se,
Jis nazar se tughe kabhi nazar na lage.

-



Aankhein teri na jaane kuch keh jaati hai,
Har pal mere zakhmon ko chhu kar guzar jaati hai,
Woh chamak ab udaasi mein dhal si gayi hai,
Muskuraahat ke peeche kahin ek aansu chhup jaati hai.

-



Tujhe har waqt dekhne ki tamanna dil mein rehti hai,
Ek pal bhi agar na dikho to bechaini si hoti hai,
Teri muskaan se rooh ko ek nayi roshni mil jaati hai,
Tere bina har shaam udaasi mein dhal jaati hai,
Teri baaton ka nasha har lamha chaayrehta hai,
Aur judai ka zeher dil ko chubh jaata hai,
Tu jo saamne ho toh mehka mehka sa har samaa lagta hai,
Aur jo tu dur ho toh dil tanhai aur akelepan ka ghulaam sa lagta hai.

-


Fetching BINAY-The Night Writter Quotes