Bikram Bhatt   (Bikram bhatt 💞✍️)
94 Followers · 61 Following

read more
Joined 16 December 2017


read more
Joined 16 December 2017
26 JUN 2022 AT 11:31

"AHMIYAT"

Wo aaj ki baat karte hain, hume kal ki fikar rehti hai..

Wo apne me kahin gum,
Hume unki parwah rehti hai..

Baat ahmiyat ki hai janab,

Unhe mohobatt hai khud se,
Or hume humari mohobatt ka khayal rehti hai.. ❤

-


5 JUN 2022 AT 1:05

Tu dekh to sehi mere dil me aa kar,
Kuch dard v hai, kuch pyar v hai..

Yun na nazar andaaz kar mere lafzon ko,
Mehsus kar to sehi,
mere andar basi ek gulzar v hai.. ❤

@BadalSharma

-


27 MAY 2022 AT 20:03

Ye ishq nehi hai asaan,
Kya kabhi kar k dekha hai ?

Dard hoti hai, jo unse baat nehi ho pati,
Kya kabhi seh k dekha hai ?

Kayi saal gujar jate hain bin mulakaat k,
Kya kabhi intezar kar k dekha hai ?

Ye ishq nehi hai asaan,
Kya kabhi kisi se kar k dekha hai ??

-


24 APR 2022 AT 19:43

"KUCH ALFAZ DIL K"

Ye pyar na badi Ajeeb cheez hai,
Waqt aane par jatata bohut hai..

Jab taq hai to hai,
Par jab jaata hai na to bata k jaata hai k,
Wo kitna tha.. ❤

@copied

-


24 APR 2022 AT 1:36

Aa jata hai har koi salaah dene,

Koi wakif nehi,k kitna dard liye chalta hun,
Koi taalim nehi, jo khud hi khud me sambhalta hun..

kuch kisse mohobatt k yaad aa jaate hain roz,

K Kisi ko kareeb se dekha karta tha,
Abb duriyon se aahein bharta hun..

Lafzon ki takrar me dil ki awaz gunj rehi,
Alfaz ishq k, kaagaz pe jo bikhar rehi,

Labon se bayan hota nehi, isliye shayeri likha karta hun..

-


17 APR 2022 AT 22:18

Kuch jhuki nazron se isare,
Kuch khamosh zubaan ki wo baatein..

Kuch sor hai inn dhadkano ki,
Kuch dard ki wo barsatein..

Ye Ishq jo hai, wo hai sirf tujhse,
Abb judaa ho k v main jaun kahan..

Kuch marham si teri mohobatt,
Kuch sukoon si wo mulaakatein.. ❤

-


13 APR 2022 AT 0:35

Kuch batein chubhti to bohut hai,
Par main samjha leta hun khud ko..

Ratein guzarti nehi kya karun,
Ankhein khuli rehti hai par sula deta hun khud ko..

Kyun yaad aati hai iss kadar teri,
Kyun luta di mohobatt, tujhpe hi sari..

Nashe me doob jaata hun har roz,

Tu yaad na aa jaye kahin,
isliye bhula deta hun khud ko..

-


6 APR 2022 AT 21:14

Kya mila hai mohobatt me, kuch nehi,
Kar k dekha hai humne v kabhi..

Taras jaate the kuch alfaz k liye,
Kabhi ek mulakaat k liye,To kabhi chand lamhon k sath k liye..

Afsos hota hai khud k sareef hone ka,
Sarafat se hume mila hi kya?

kuch nehi kuch nehi..

Yun to apni wafa pe hume naaz hai bohut,
Ho jata hai ishq, unse hi har roz..

Abb aisi wafai me rakha kya hai ?

Kuch nehi, kuch nehi..

-


27 MAR 2022 AT 0:16

Ek shayeri likhi hai, kabhi milo to sunaunga..

Ek tum or meri mohobatt ki dastan ajeeb hai,
Tujhe paane ki khusi or khone ka darr v laziz hai..

Yun to main bayan karta nehi dard apna,
Bas kuch alfaz hai, kabhi milo to bataunga..

Dil giraft hai tere paas, chahe to azad kar de,
Tere ishq me abaad ya to barbaad karde..

Khamosh hai juban par dil ki shor beshumar hai,
Dhadkane tere naam ki, kabhi milo to sunaunga..

Maana ki duriyan hai darmiyan,
par dilon ki nazdikiyan v kam nehi,

Pyar hai tumse bepanah si,
Itna to yakeen kar, Dil tod k jane walon me se hum nehi..

Hai kuch ankahi si batein, tumhe batani jaruri hai,
Ek sayeri likhi hai, Kabhi milo to sunaunga.. ❤

-


20 MAR 2022 AT 19:26

Dil ne ki hai kosis kayi dafa,
Bas ek mulakaat ho na saka..

Jise dekhe hue arsa beet gaye,
Unse dobara baat ho na saka..

Mayusi chayi hai inn ankhon me,
Hai gumsum sa dil kahin..

Thi tamanna unn k kareeb jane ki,
Kareeb ho k v mulakaat ho na saka..

-


Fetching Bikram Bhatt Quotes