Bhushan Jagtap   (B_thepoet)
673 Followers · 891 Following

Joined 24 May 2020


Joined 24 May 2020
24 JAN 2022 AT 15:32

Mai janta hu tuze fark nahi padta Mai fir bhi tera naam gungunata hu
Me har ek vo baat karta hu jisase tu muskurade..
Bus ek teri hasi hi hai jisse mai sari duniya bhul jata hu....
Tu kisi fool si mehkati hai...
Mai bhavara banke khicha jata hu..
Tu kisi Nadi si behkti hai,
Mai kinara ban ke chalna chahta hu...
Tu ek aag si machalti hai
Mai bas parwana ban ke jalna chahta hoon....

-


11 NOV 2021 AT 5:18

Koi tumse puche ki kon hu Mai kehna koi khas nahi
Ek dost hai kaccha pakka sa
Ek jhut hai adha saccha sa

Koi agar puch le to use bol dena tumhe muzse koi aas nahi
Tum to samundar ho tumhe is ek bund ki pyas nahi

-


17 OCT 2021 AT 22:19

Use uske jaise to bohot mil jayege
par jab bhi baat Chahat ki hogi use meri yaad jaroor ayegi.......

-


17 OCT 2021 AT 2:13

Tum is tarah ana ki mere Khali jindgi me rang bhar jaye,
Sune se is Dil me ujala ho jaye
You to kafi raho par bhatak chuke hai par tum meri manjil banke ana
Aur is kadar muzme sama jana ki meri jindgi ban Jana...........

-


17 OCT 2021 AT 2:05

Door us Chand se koi Jake bole jyada ghamand na kare....
Hamne bhi ek chandni se ishq kiya hai agar uska deedar ho gaya to kahi ye ghamand toot na jaye...

-


13 OCT 2021 AT 13:50

Adate to khub milti hai hamari,
Agar Dil bhi milte to kuch aur baat hoti,,
Mere nazariye se agar vo khudko dekhti
To shayad khud se hi ishq kr jati......!

-


1 OCT 2021 AT 3:08

Tuje bhula du ye yashad ishq se beimani hai,
Teri yade bhale hi dhundali ho chuki ho par teri hasi aaj bhi yaad ani hai.....

-


27 SEP 2021 AT 1:15

Rango ne ek baat hamesha sikhayi hai agar nikharna hai to pehale bikharana sikhiye.....

-


27 SEP 2021 AT 1:00

Meri is Khali jindgi me,
Tum khushiya banke ayi ho.
Ek tapti bhari dupehar me,
Tum thandi hava ka zoka ban ke ayi ho❤️......

-


25 SEP 2021 AT 20:42

Is manjil par milne vale us manjil par kho jayenge,,,
Pal do pal ka sath hai magar kisse umra bhar yaad ayenge..........

-


Fetching Bhushan Jagtap Quotes