Bhavnish  
43 Followers 0 Following

1393377957 if its reversed to explore more aspects of writing with my thoughts
Joined 4 May 2018


1393377957 if its reversed to explore more aspects of writing with my thoughts
Joined 4 May 2018
5 AUG 2023 AT 8:14

Kaash majburi ke kuch panne tune samete ho
Khuddar is zindagi ko aankhon ne sameta ho
Raah par chalte girte log mujhse bhi mile
Par apne swarth ke daldal se mujhe samet lete
Kinare benaam kuch hawaoon se pucha
Unki badnami ne pura sehar samet liye
Aadat toh buri har insaan se mili
Shayad uski samjh se desh samet lete
Dundhli si kuch yaadein dikhai hi nahi deti
Par mano use bhi apni ego se samet lete
Kyon sameta is sansaar ke bandhan ko
Maut ke ishaaro se man ko samet lete

-


20 JAN 2022 AT 15:26

Kalyug ke raza rani ho tum
Vicharo ki jang me apno se mat ulzho
Khali bethe kitabon se pucho
Tumhari awaaz kinaro me mat dhundho
Need bhi feeki, aisa apne sirhane se pucho
Sapno ki ulzan me apne pyaar ko mat dhundho
Takrakar apni soch se mujhe na dhundho
Aaj sham ke nazaro me uski hasi se pucho
Iraade mazdoori ki chaukhat par
Kya main kahu?
Jaun kaha
Behke mehfil ke kinaro par
Mulakatein kuch shabdo se
Likhta hua teri rooh se mil jaun..




-


20 JAN 2022 AT 14:53

Do waqt ki mushqil
Teen waqt ka khana
Chalte chalte kuch
Mile hamsafar
Chehre ki maasoomiyat
Kuch puche mujhse
Par bebas mere halaat
Kuch dhundhe phirse
Toka taki har samaz ka riwaz
Seham hua mera dimag
Koshish ke sahare dhalta hun me
Neend me khojta hun tujhe...
Milta hun teri adhuri parchayi se
Na tolo meri aadat ko apne paiso se
Likhta hun har roz kuch
Chikti chillati unki azaazo se
Kaap uthi meri syahi hai ab
Insaan ko insaan bhi samjho




-


16 DEC 2021 AT 8:54

Kaam hote nahi waqt guzar jate hai
Log dikhte nahi kaam nikal jate hai
Duniya ko zaalim mere apno ne banaya
Khushi milti nahi zakhm chod jate hain

-


26 NOV 2021 AT 7:14

Likhta chala jaun
Tu dhundhe mujhe
Me chalta chala jaun
Tu roke mujhe
Kuch baatein me bolo
Tu roke mujh
Yeh silsila kuch bane
Tu badle ise
Yeh socha bhi mene
Tu mujhe kese mile
Waqt bhi mila
Tu bewqt hi mili
Sath hamesha rahun
Samay ka sath
Kuch adhura mila

Me likhta chala jaun
Tu roke mujhe
Tere pass chala jaun
Tu toke mujhe
Nasamjh meri soch bhi
Sapne ki baaton ko apna na samjhe

-


16 OCT 2021 AT 9:28

Lehro ki awaazein kano me kuch bolti
Man ko tatola kuch purane kisse nikle
Ghumta me sochta me
Har soch me dhundta hun
Kaash yeh saath suna nahi lagta
Tum aaj bhi sath mere hoti

-


16 SEP 2021 AT 7:57

Pages to be turned
Burnt in my thoughts
Light to be dark
Found alone in my life
Thought to build
Around circle of street
Found a piece of paper
Half burnt from sides
Showed image of my life
Curious to know
Why life is framed
Still walking on a street
Towards answer of my life

-


13 SEP 2021 AT 20:47

Paid Content

-


20 FEB 2021 AT 22:59

Mulaqat se rishte ki duri kuch anjaani si hai
Baatoon se Khamoshi kuch madhoshi si hai
Tumse kuch chipa sakun aisi hamdardi kaha
Nighoon me khubsurti kuch apni si hai

-


17 JAN 2021 AT 8:18

Tumhe jhalak se mehak tak ka rasta masroof ho
Par didaar e ishq ki samjah tere waqt ke pas ho
Shayad chand si Mehboob mere liye khaas ho
Jhalak teri aankhon ki shiddat se mangun
Yeh gawara nahi is bewaqt mohbbat ko...

-


Fetching Bhavnish Quotes