“tu ne accha hi kiya mujhe galat samajh kar,
mein thak gaya tha khud ko sahi saabit kar kar ke”-
Wo Mera Hai To Wo Mujhse
Door Kyun Hain?
Door Rehkar Jeene Ko Hum
Majboor Kyun Hain?
Gunah (Pyar ) Hum Dono Ne
Kiya Tha Ek Jaisa,
To Mera Kasoor Kyun Hai
Aur Wo Bekasoor Kyun Hai ?-
“wo mujhse bichhad kar ab tak roya nahin Ghalib,
koi toh hai hamdard jo usey ronay nahin deta”.-
“Woh ladd kar bhi so jaye to uska maatha choomun main,
usse mohabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf.”-
“paaya toh tujhe ek boond sa bhi nahin,
aur khone ka darr samundar sa hai”.-
“Muddat ke baad jo awaaz di usne,
Kadmo ki kya majaal saansein bhi ruk gayi.”-
“Yaaden unki hi aati hain jinse koi talluk ho,
Har shakhs Mohabbat ki nazar se dekha nahi jata”-
“Bichadte waqt usne kaha tha,
na sawaal karna, na jawaab milega,
tum bhool jana, sukoon milega,
yaaro!
na sawaal kiya,
na jawaab mila,
na bhool saka,
na sukoon mila.”-