MERE BABA
Uske sundar chehre pe aatey jhurriyon ko dekha hai….
Uske kandhon pe ladi chaadar si majbooriyon ko dekha hai…
Uske hanthon ki garmi ko harr mausam ab thandi hotey dekha hai…
Uski puraani shirt mein aaj bhi usko kisi rajya ke raja se kam nahi dekha hai…
Haanth uske chaanhein tang ya sang, saath toh uska barabar hi dekha hai…
Uske chashmein se duniya ko bachpan mein hi dekhne ki koshish hoti thi,
Lagta hai koshish kaam aa gayi…
Duniya ki asaliyat uske chashmein ne nahi uski umra ne batla diya…
Taney huye tano se kandhon ko aaj jhuktey huye dekha hai…
Kitni majboor si ho gayi hoon kaash ki koi baat badal paati, har haalaat badal paati, uski jhukti huyi kandhon ki umra kam kar paati…
Darti hoon ki jahaan bhi jaaoongi, yeh raunak kahaan paaoongi…
Tere chehre ki hansi ko dekhne ko kahin taras toh nahi jaaoongi…
Baba main tum jaisa kahaan ab kisiko paaoongi…
-