Shaam ho jati hai khud ko ye samjhane me ki “maine keh di apni dil ki baat” ab faisla uske hathon me hai.. ke fir sawera ho jata hai or fir sawalon ki andhi usi tarah sataati hai..
-
Wo aksar sochte hain hum itni jaldi kyu so jate hain??
Ab bhala kon bataye unhe ……
Agar karta rha intjar unke aane ka to fir iss kadar soyenge ke log royenge fir hume jagane ko..-
Kamiyan hi saari khud ki bata rha hoon kharonch kharonch kr..
Acchaiyan ka na shauk hai use na hi koi mol..
Fir bhi agar jud jata ye adhura sa rishta to kaisa hoga ye sanyog?
Milegi sukh ki amritrupi anubhuti ya fir se milega wahi purana na bujhne wali agni swaroop viyog?
Koi iccha nahi hai ki mile athah prem ka sagar.
Mujhe to tumhare asweekar karna ka bhi dar nhi hai.
Bus seham jata hoon iss manmohni bhram ke mayajal se jisme sirf tum meri hi to ho..
Icchaaein anant hai lekin swaroop sirf ek hai.
Ek darpan jisme chehre bhale hi do hai lekin ye manmohak roop ek hai.-
Ek dard se picha chura bhi na paye the hum ye tum ek naya jakham de baithe.
Bholapan kaho ya bewakoofi tumhari chand baton pr hi dil de baithe.
Laga jaise khilengi phool fir se ek bar is ujde chaman me tum to sawan se pehle hi banjar kar baithe.
Ha mana tumne kabhi kaha nhi ke tumhe prem hai humse lekin hum karein bhi to kya karein fir ek baar nadani kar baithe.
-
Aksar dil ke hathon majboor ho kr rat ko use message kar diya karta hoon.
Mujhe maloom hai use fark nhi parta isliye har subah fir delete bhi kar deta hoon.
Dil ko sukoon bhi mil jata hai or rahi-sahi ijjat bhi bach jati hai.-
Jaane diya kro un logon ko jinhe kadr nhi hoti.
Kyuki mangne se to ab bheekh bhi nhi milti tum prem ke arman liye kaha firte ho.
“LET THEM GO”-
Tu kya jaane tu mera kya hashra kr gya.
Zinda chor kr bhi maut de gya.
Pyar ka aisa ehsaas de gya ke har kisi ka pyar beasar ho gya.
Jab bhi koshish ki maine kisi ka pyar paane ki khud ko teri yaadon ke utne hi kareeb paya.-
Mudatton bad anjane me kadam fir usi rah badh chale..
Shukriya tera khuda jo patthar shuruat me hi mile.
Chal ab laut jata hoon wapas apne veerane me lekin shukriya tera khuda kuch pal hi sahi jo fir se jeene ko mile.-
Main kabhi rishton ko naam nhi deta.
Koi maap sake rishton ki gehrai koi paymana nhi deta.
Tum bano chahe dost, yar, pyar, mehboob ya dushman main kabhi naseeb ko ehtraam nhi deta..-
Kabhi kabhi bhot akelapan sa hota hai.
Dil ke bojh bant sakoon aisa koi insaan kaha hota hai.
“Ye mera makan bhi kahan raushan hota hai.
Ye jo dil ke Zarre zarre me darar hui hai inko bhi kahan marammat naseeb hota hai.?”
“Ghane andhere kisi kone me chupa baitha hoon main yahan kahan kisi ki aahat hoti hai..?”
“Ssshhhh chup rho suno lagta hai koi ahat hui hai”
“arey choro jao iss gumnam dil ke darwaje pr bhi kahan dastak hoti hai??”-