Azhar   (Azharuddin)
243 Followers · 105 Following

read more
Joined 8 April 2017


read more
Joined 8 April 2017
21 MAR AT 2:05

Waqt ki ahmiyat samajhne lage?
Phir samajhne ko ab bacha kya hai!!?

-


21 MAR AT 2:02

Paida hona gunaah_e_awwal tha
Aur saare gunaah uske baad..

-


21 MAR AT 1:57

Wo sochta hai aish o ishq aur hai masarratein
Haqeeqatan tabahiyo bhari hai zindagi meri

Mujhe malaal hai ke koi haath thaam le mera
Usey malaal hai mai uska haath thaamta nahi

Kise yaqeen aaye mujhme shaks jo tha mar gaya
Dhadak raha hai dil mera chal rahi hai saans bhi

-


12 JUN 2023 AT 19:01

वो जो कहते हैं कि मैने उन्हे इज़्ज़त नहीं दी
ये नहीं कहते हैं कि उनसे संभाली न गई

-


7 NOV 2022 AT 10:09

Nasaaz tabiyat me tera haal puchna
Ji krta hai reh jaau isi haal me kuch din

ناساز طبیعت میں تیرا حال پوچھنا
جی کرتا ہے رہ جاؤ اسی حال میں کچھ دن

-


1 NOV 2022 AT 0:58

Ik zalzale si aag liye hum

Chhod k ghar bairaag liye hum

Khwabon ki rahon pe chale hain

Paon me chhale b pade hain

Haar mili hai haar mili hai

Aur hazaron baar mili hai

Qismat me gar haar likhi hai

Qismat se bhi lad jayenge

Haar ke yu'n na ghar jayenge

-


1 NOV 2022 AT 0:51

Pehle roka tha raasta mera
Ab naya raasta bna rhe hain

Kal yehi chahte the haar meri
Jeet pe jashn jo mana rhe hain

-


1 NOV 2022 AT 0:44

Haan haqiqat se rubaru hu mai
Jo tha kal aaj hubahu hu mai

Jinki nazro ne tha giraya mujhe
Aaj un sab ki justaju hu mai

Fakhr-e-baba muhabbat-e-maa hu
Goya dono ki aabroo hu mai

Jisko mil jaau'n chhorta hi nahi
Yaar insa'n hu ya suku'n hu mai

Door ho kr kareeb hain itne
Wo jo sajda hain to ruku hu mai

-


1 NOV 2022 AT 0:37

Mai musafir hi hu umr bhar ka
Meri koi bhi manzil nahi hai

Log raste me milte rahenge
Jaise aate hain jaate rahenge

Tum hmesha wahi shakhs rehna
Aur sab to badalte rahenge

-


2 OCT 2022 AT 11:34

Intezar karenge is mausam ke khatm hone tak!

-


Fetching Azhar Quotes