Azhar Alam   (Adeem)
24 Followers · 6 Following

Joined 6 November 2017


Joined 6 November 2017
28 FEB 2020 AT 0:20

Na jaane kyun ye hawayein
Mujhe choo kar guzarti hain,
Dil pe ek dastak si de jaati hain
Shayad isharon mein kehti hain
ke tum aane wale ho
Ya fir yun hi mujhe behla kar
chali jaati hain.

-


21 JAN 2020 AT 21:43

"Iss gumnaami ki mehfil mein hum
apne hi ho jaenge,
maloom hai tum aaoge nahi
chalo hum taaron sangg so jaenge."

-


2 JAN 2020 AT 3:12

"Tum sunoge nhi aur
mujhse kahaa nhi jaega,
Baatein kiye bin bhi
tumse raha nhi jaega,

Katl karna hai to kardo
mohobbat ka tum aise hi,
Baar baar alag hona bhi
yun sahaa nhi jaega."

-


28 DEC 2019 AT 7:51

"Kyun beghar ghoom rha hai
kya baat ho gyi,

toote hue khwabon se kya phir
mulaqaat ho gyi?"

-


24 OCT 2019 AT 2:53

"Chalo baitho tum mere saamne
apni kahaani rakhta hoon,
aankhon mein jo chupaata hoon
labon pe aaj rakhta hoon,
ye raat yunhi main
zaaya nhi hone dena chahta,
chalo aao tumhare saamne
apni zindagani rakhta hoon."

-


10 OCT 2019 AT 23:02

"Sochta hoon kaisa hoga wo aayina
jo mujhe mujhse rubaru karaega,
thaamega mera haath
aur mere paas baith jaega,

ya samjhaega mujhe ke main nhi
bas mere halaat galat hain,
ya maanega meri baat
aur mujhsa hi ho jaega,

sochta hoon kaisa hoga wo aayina..."

-


7 OCT 2019 AT 4:13

"Boondein barasti ab in aankhon se hai
Manzil lapata aur raastein dhundle se hai
Zinda hokar bhi hai be-jaan hum
Ab khud ke liye bhi hum ajnabee se hai."

-


7 OCT 2019 AT 4:11

"Rooh bichadti kyun jism se hai?
Kuch mere khwab kyun alag se hai?
Jaage huye bhi kyun soye se hai?
Lafz mere khud ke kyun gair se hai ?"

-


21 SEP 2019 AT 0:39

"Teri tasveer liye haathon mein,
khud ko nihaar raha hoon,
teri zulfein dekh dekh,
khud ki zulfein sanwaar raha hoon,

ke kahin parr na jaaun pheeka
main tere aage,
ke main ittr se bhi khushbue
udhaar maang raha hoon."

-


13 SEP 2019 AT 2:28

"Behte samandar mein ruk kar,
leheron se pata puch rha hoon

Naraaz hoon khud se hi, khud se
hi khataa puch raha hoon."

-


Fetching Azhar Alam Quotes