Sabkuch jaante huye bhi khamosh rahna
Kitna dardnaak hoga muskurate huye ye sab sahna-
Ab isse jayada khud Ko kya paribhash karoge
मुझे जिससे मोहब्बत थी
उसे किसी और की हाजत थी
मुझे जिससे मोहब्बत थी
उसे किसी और की आदत थी
मुझे जिससे मोहब्बत थी
रकीब के वास्ते उसकी इबादत थी
मुझे जिससे मोहब्बत थी
वो किसी और की हकीकत थी
मुझे जिससे मोहब्बत थी
मुझे......................... थी-
Jaane Kyun log itna dost badalte hai
Apne Matlab ke liye har Roz badalte hai
Jinko badalna chahiye apni fitrat Ko wo
Apni pasand Ko har Roz badalte hai-
Sapno ki dhund me ham khoye huye the hame haqeqat ki aas thi
Ham to jhoot ke jaal me uljhe the hame sach ki talaash thi
Wo hame dhoke ke is jaal me is kadar jakde huye the ki
Bas andhera hi andhera tha zindagi me bas ujale ki aas thi
-
Haal pucha jo unka to rakeeb ko hasi aa gayi
Ankhen kya jhapki meri samne unki tasveer aa gayi
Ab to Shama bhi bhujh jati hai unka Naam Lene se
Hame to fir bhi unki Dil se yaad aa gayi-
Tum jaise hote duniya me agar kai to wafadaar na hote
Tum aise hote pahle to ham tumhare talabgaar na hote
Aur waqt rahte bhi agar tum Sambhal jaate to
Shayad tum itne jayada gunahgaar na hote
-
Kaun nahi chahta roothe Ko manana
Kaun nahi chahta rote Ko hasana
Kaun nahi chahta girte Ko uthana
Chahte sab hai Lekin karna chahta kaun hai-
Ye hasi yuhi barkarar rakho
Dil me sirf pyaar rakho
Nafrat Ko Zinda kadmo me gaad do
Ek dooje par bas Aitbaar rakho-
Khwaab agar Haseen ho to Tod do
Dil toota hai to fevicol se jod do
Rootha ho agar yaar tumhara
Seedha utho aur muh uska Tod do
Jayada teen paach kare to bas
Tod fod ke jod do aur fir Tod do
😀😀😀😂😂😁😁-
Rooth jau Mai to koi manane wali to honi chahiye
Hasrate, chahate sab Kurbaan bas koi chahnewali to honi chahiye
Jalne wale jalte honge mujhse mera kya
Mai Jalaunga kisko koi jalnewali bhi to honi chahiye-