Dear Ayansh,
Hnn ab tum chle gye ho,hmesha k liye mujhse dur,
Tumhare liye ab wo rista ya usse judi yaadein maayne nhi rkhti hai,
Tumne apni nayi duniya basa lii hai aur tum usme khus bhi rehne lage ho,
Ab to tumhare wapas aane ki koi ummeed bhi nhi hai,
Lekin fir mai har roj tumhara intajaar pas waali chay ki tapri par karti hu,
Halaki,mujhe maloom hai ki tum nhi aaoge,
Lekin fir bhi dil nhi maanta har shaam tumhari yaad mujhe tapri ki taraf kheech le jaati hai,
Kehne ko tum kuch apne sath lekar nhi gye lekin fir bhi mere pas mera kehne ko kuch nhi rehh gya...
Hnn ab bhi din thik waise hi hota h shaam bhi hoti hai aur fir raat ho jaati hai....
Lekin pta h,ek pal k liye bhi tumhari yaad mere jehen se nhi jaati,
Mai chah kar bhi tumhe bhula nhi paati,
Mai tumhe galat nhi khungi kbhi,tum shi ho,
Mai Jeevan k har mod par tumhara intajaar karungi.....kbhi fursat ho to uss raaste se gujarna mai aaj bhi khidki tumhe dekhne k liye khuli rkhti hu...
Mai aaj bhi tumse behad pyar karti hu!!
Sirf tumhari......š¤
ā % &-
~apni mehfilon me wo mujhe badnaam karne me Jara bhi nhi hichkichate,
jo kal tk ek lafz bhi hamare khilaf barbaadst nhi karte the!!-
~Hass rhe hai aaj wo mere halat dekhkar,
Kaanpte honthon se kal jisse pukara tha!!-
Tera naam accha lagta hai mere naam k sath,
Jaise koi khoobsurat sii jagah ho haseen sii shaam k sath!!-
Wo ek sakhsh,
Kitna jaruri hai......
Jab jindagi har taraf se nirash kar rahi ho,
Hum puri tarah se tootne ki kagar pe aa khade hote hai
Koi manjil koi raasta najar nhi aara hota hai
Aur ab himmat bhi nhi bachi hai ki dobara jindagi ki ldai ko ladd sake
Uss waqt kuch dikhai nhi deta lekin fir bhi
Hum dekhte wo ek saksh hmare sath khada hota hai jo hame tootne nhi deta
Kitni khushi milti uss ek saksh k hone se
Puri duniya me koi to aisa hai jo hmare sath uss waqt hai jab hum kuch nhi hai
Wahi saksh hmare liye puri duniya me sabse accha hai jiske hone se sukoon milta hai.......
Aur hum kabhi uss saksh ko khona nhi chahte!!-
Mai kabhi kahi dur nhi gaya tere ahsason se,
Tu jab bhi mujhko mehsoos karega mai tujhme hi khi najar aaunga!!-
Mere chehre ko padh k mera haal jaan lo,itna aasan thodi h,
Tujhse roothne k baad kisi aur k pas jaau, itni naadan thodi hu,
Rishton ko ahmiyat deti hu, aasani se rishta tod du itni khudgarj thodi hu,
Mai mai hu, mujhe itni aasani se padh loge koi kitaab thodi hu!!-
Pyar kya hai......
Kya pyar kisi rishte ka mohtaaz hai?
Jahan rishta nhi hota waha pyar nhi ho sakta?
Mere khyal se pyar kbhi kisi rishte ka mohtaaz nhi hota,
Pyar ko kisi rishte ka naam sirf samajik taur pe diya jaata hai,
Sawal ye uthta hai ki kya pyar ko kisi rishte ka naam dena jaruri hai?
Bina rishte k pyar nhi ho sakta, kbhi kbhi to rishta hokar bhi pyar nhi ho paata.. ..
To kbhi bina rishte k bhi koi nibha jaata hai.....
Kabhi kisi ko gale lagakar bhi wo sukoon nhi mil paata to kisi ka sirf matha choom lena hi sokoon de jaata..
Mera manna hai jisse pyar kro usse aajad krdo,
Ek parinde tarah usse aajadi se udne do..
Agar wo tumhara hua to ek din wo har khi se thak kar wapas apne ghosle me jarur aayega, tab usse mehsoos hoga isse jyada mehfooz jagah uske liye koi nhi sakti....
Tab socho wo pal kitna sukoon bhara hoga.....
Aur shi maayne me isse hi pyar kehte hai dost!!-
Dosti,
Socha aaj kuch likhti hu
E-dost jahan pe jikrr tera aata hai
Chlakati ankhein bhi muskura uthti hai
Tere baare me jitna likhu lafz kamm padd jaate hai
Mai jyada kya likhu, kuch purani baatein likhun
Ya kuch mukurati yaadein likhu
Kuch purane raaj likhu ya kuch unkahe alfaaj likhu
Tu khuda ka diya hua anmol namoona hai
Jiska sar mujhe jindagi bhar khana hai!
Mai teri dost hu ye baat tujhe tere bheje me bithaye rakhna hai!!
~ayushi singh-
Btane ki yeh baat nhi hai
Lekin fir bhi batane doge kya
Ishq bepanah hai tumse
Meri jaan jatane doge kya
Tum khwaab ho, pahad ho, aasmaan ho mera....
Tum sukoon se kuch pal apne sath bitaane doge kya!!-