Main aakash mein udti hu woh chidiya hu
Jisko chhod sab aage nikal gaye
Main udti rahi manzil ki khoj mein
Saare raste dhundhle hote gaye-
|Learning|Loving|Growing|Glowing|
Past will haunt you until you get up to presen... read more
Ek din dur jaana hai yeh taay hai
Yeh din aakhir yahi hamesha ke liye
Ruk kyun nahi jaata-
Ek din jab main marr jaungi
Sabki pareshaniya le jaungi
Woh jo dukhi hai mere ho se
Sabki shikayat le jaungi
Woh jo khush hai mere hone se
Sabko aur khushi de jaungi
Ek din jab main marr jaungi
-
Har baar tumhe rokne ki koshish ki thi maine,
Par is dafa samajh aaya, tum kabhi mere the hi nahi.-
Har baar yuhi mujhe tanha kar dena
Zaruri hai kya?
Do pal ki khushi deke
Phir se aankhein nam kar jana
Zaruri hai kya?
Tum toh unra bhar sath dene wale the na
Yun dusro ki tarah sath chhod jana
Zaruri hai kya?-
Tu akela chal!!
Tujhe kyun aas ki kisi ke sath hone ki
Akela kaafi nahi kya?
Tu kyu intezar mein hai mauke ke
Yeh mauka sahi nahi kya?
Kyun insan se umeed lagaye baitha hai
Jinse nirash hua woh kaafi nahi kya?-
Wajah kuch yun batayi unhone dur jaane ki
Ki majboor hai woh
Par sach toh yeh hai ki
Majburi mein itna khush toh
Aaj tak humne kisiko nahi dekha-