Ayushi Mittal   (Ayushi Mittal)
221 Followers · 29 Following

read more
Joined 26 August 2017


read more
Joined 26 August 2017
21 JUL 2020 AT 17:13

Khud ki talaash mein, rab ne tujhse mila dia...
Dhoond rahi thi apna saaya, tujhe mera saaya bana dia.....

-


21 JUL 2020 AT 16:19

If u say
Bhool ja mjhe..


I wil respond
Sorry kaun ho tum????

-


21 JUL 2020 AT 15:21

Sabko khush rakhne ki arjoo, aksar khud ko hi bhula deti hai
Hogi ab kisi k ghar ki bahu, par aj bhi wo kisi ki beti hai...

Puchte hai aksar sablog, usse ate jate
Rahti kyun tu gumshum, khush kyun na
rehti hai..

Kaise bhulaye ,apne wo babul ki yadein
Har ek dhadkhan aj bhi bas wahin se judi hai......

Choddha apno ka hath, bas tere liye har kadam jo chali hai
Tu hi hai ab uska dost, tu hi sathi aur sakhi hai...



-


15 AUG 2018 AT 9:38

Desh hai ek, rang anek, kitni yahan vividhta hai.
Sabse pyara desh hamara, hamari ye pratistha hai.....

Dharam k naam pe, kyun hum baatein jate hain.
Hindu muslim sikh isai, kyun hum aj kahlate hain..

Kbtak chalega ye takrao,
Kb aega wo badlao.
Jab sab hum ek kahlaenge..
Hind hai hum, bas hindustani hum kahlaenge..
Bhool gae hai hum sab aj, un veeron k balidano ko.
Kaise dilayi hume ajadi aur unke ahsaano ko...

Beet gae hai 71 saal , hue aj desh ajaad..
Na jane ho pae hum, dilon se hum apne abaad..

Chodh do ye dharam ki batein..
Na milni ye phr sukhmayi ratein..
Hokar dekho ab sab tum ek.
Hindu muslim roop anek...

Sabka jeevan sukhmay ho jaega,
Desh hamara sabse pyara..
Swarg phir se ye kahlaega..
Daal - daal aur paat paat par hamara tiranga lahraega..

HAPPY INDEPENDENCE DAY...

-


22 JUL 2018 AT 12:40


13 JUN 2018 AT 14:01

Jab jab akar maa ne sir pe hath tha uske fera;
Hota tab tha us lado ka, har roj naya savera..
Ye nahi khana, wo nahi khana, karti apni manmani;
Chipkar maa k anchal me, karti nayi chedhkani..

Karti pyar jise wi jada, the wo uske papa;
Karwati har jid wo puri, naye naye karke syapa...
Dekhte hi papa ko, lipat thi unse jati;
Dikha dikhakar bhai ko, apne bahut chidhati..
Papa ne bhi na kuch kam, sir pe use chadhaya;
Uski har ek bat ko mathe sir pe lagaya..

Hoti aksar jise ladai, the wo uske pyare bhai;
Hone par uske yahan, na rahtu suni kalai..
Pure jahan se uski rakhsha, bhai the uske karte;
Ghar k andar ate hi , bin bat pe use jhagadte..

Yoon haste gate jeevan usne apna pura bitaya;
Papa ne bhi usko har pal sir ka taaj btaya..
Badhte samay k sath wo, hoti gayi sayani;
Kar do uski shadi ab, na duji manmani..

Dhund uske kaabil ladka, kar di uski sagai;
Na hai ab tu yahan ki lado, hui ab tu parayi..
Maa ki sun ye bat bhi, bat samjh na ayi;
Thi jo abtak unki lado, kaise hui ab parayi..
Kaise hui parayi...

-


12 JUN 2018 AT 16:57

Baithe the us din hum sath; muskara rahe the,,
Aajoo baju me masum bache, khilkhila rahe the....
Halki hawa ka wo jhokha, chookar mujhe tha jata,,
Dhire se phir jakar wo uske jhulfon me simat jata....
Bauchar phoolon ki us pal; khusboon yoon bikher rahi thi,,
Mano wo hum dono k dil se pal pal khel rahi thi......

Thama hath jor se usne, us din kuch yoon mera,,
Na dekha hai, na dekhunga bin tere koi savera.....
Sun uski un baton ko , sukoon tha maine paya,,
Apni har saanson ko, usme tha maine basaya.....
Ankhon me us pal meri, kuch chamak si aa uthi,,,
Badal bin barish ki bundein, akar tab hum par giri...
Najdikiyan hmari kuch is traha, badhti ja rahi thi,,
Dilon ki pyas ko, pal pal wo bhuja rahi thi...

Dhal raha tha suraj tab; jaldi me sayad tab wo tha...
Mera aur uska sath sayad us pal tak ka tha ..
Kaano me kuch yoon kahkar, maa ne mjhe jagaya tha,,,
"Uth ja beta, der hai bhayi" , sapna tera paraya tha....
Sapna tera paraya tha...

-


6 JUN 2018 AT 9:04

Nayi subha , nayi umeedein lekar ayi...
Achanak dil me kuch bechaini si chayi...
Dil me rahta pyar, sath me tanhayi ..
Ek pal mulakat k bad ati phr se judayi..
Jindagi ko mjhse pyar hai ya sirf ruswayi..
Abtak bat samjh na mjhe ye ayi...
Chalti jani hai jindagi isi traha 'Ayushi'...
Tbhi to jindagi "ek unsuljhi paheli " kahlayi..

-


29 NOV 2017 AT 2:54

Is dard k sath jeena ab namumkin lagta hai..
Ye dard rooh ko har pahar khokla karta hai...
Kahte hain wo dard dekar mujhe har talak..
Is dard ke sath tumhara chehra kuch khila khila lagta hai...
Bada hi ajab sa mera unka ye rishta hai...
Meri ankhon ka pani bhi unhe khushi ki chamak hi dikhta hai.....

-


13 OCT 2017 AT 12:51

Pyaar banakar na sahi dost banakar sath rakh lena...
Teri judaai na sah payenge mere ye do naina...

-


Fetching Ayushi Mittal Quotes