Main apni khidki se aksar
Aasmaan ke badalte rang dekhte huye
Sochta rehta hun
ke uska Asal rang kounsa hai ?
Safar-e-zindegi me aksar
logon ke badalte chehra dekhte huye
Sochta rehta hun
ke unke Asal chehra kounsa hai ?-
Dil me jo aata hai
wahi kagaz per utar dete hai
Main dhoondta hun jise, wo jahan nahi milta
Nayi zameen , naya Aasmaan nahi milta
Bhid hai bahut ,shor hai bahut,
Khamoshi ko samajhne k liye koi khaas nahi milta
Sukoon talaashti firti hai raat ,din nahi milta
Bachpan ki shaamon sa ab itvaar nahi milta
Kuch na kuch to mil hi jata hai yahan magar,
Jo dil chahta hai , wo nahi milta.-
Kissa bana diya un logo ne bhi mujhe
Jo kal tak apna hissa bataya karte the,
apne hi shehar me ajnabi samajhte hai hume
Jo kal tak ek ajnabi ko yaar bataya karte the.-
Dur hai bhale hi tumse, tumhe bhule nahi hai,
Tum ho sath mere to,kabhi hum akele nahi hai.
Zindagi ke wo khubsurat lamhe jo tumne diye hai,
Sach kahu to, ek ek pal me humne zindagi jiye hai.
Tum mile ho,mano sare dua kabool huye ho,
Har khushi har gum me tum Shamil huye ho.
Hum rahe tumhare dil me humesha,itni jagah bachaye rakhna,
Ae Dost, humse yu hi apna Dosti banaye rakhna.
Dedicated to all my Friends..
Happy Friendship Day-
Fikr bata rahi thi mohabbat jinda hai
Faslon se keh do gurur na kare,
Are,Hum to jinda hai unke mohabbat ke sahare
Dhadkano se keh do shor na kare..-
Hum kal ko talaashte rahe dinbhar,
Aur sham hote hote mera aaj dub gaya.-
Thak gaya tha sabki
Parwah kar kar ke
Bada sukun sa hai jabse
Laparwah hua hun...
Manzil ke talaash me
Gumrah hua tha
Rahat mili hai jabse
Rahi bana hun..-
Sabse wo pyari hai
Sabse wo nyari hai
Jitna bhi chaho hai kam
Wo hai mamta ka dusra naam.
Sabse wo achhi hai
Sabse wo sachhi hai
Diya hai mujhko janm
Wo hai mamta ka dusra naam.
Ganga se bhi pawan hai
Phoolon se bhi komal hai
Har ghadi rehti hai sang
Wo hai mamta ka dusra naam.
Chand se bhi sundar hai
Shehad se bhi madhur hai
Goud hai jiski swarg
Wo hai mamta ka dusra naam.
Pyar ka wo daria hai
Har khushi ka wo jaria hai
Pake use khushnaseeb hai hum
Wo hai mamta ka dusra naam.
Tyag ka wo aadhar hai
Aanchal uski ambar hai
Deti hai nai umang
Wo hai mamta ka dusra naam.
Bhagwan ki wo murat hai
Sneh se bhara uski surat hai
Uski charno mai hai charo dham
Wo hai mamta ka dusra naam.
-
Ye mohabbat ka shehar hai Janab,
Yahan savera suraj se nahi
Kisi ke didar se hota hai
Din dhalta hai, Dil tut ta hai,
Ye alag baat hai
Phir bhi, har subah
Yahan kisi ka intezaar hota hai...-
Koi baat
Koi adat
Ya fir koi ada,
Kabhi to
Kuch to
Yaad to aata hoga.
Na jikr, na fikr karo phir bhi yaadon mein aayenge
Hume bhulane tumhe zamane lagenge-