#YaadkiBaat
Aaine ki kinaari pe uski bindion ke nishaan,
Aaj bhi uski yaad dilaate hain.
Usme dekhta huin jab bhi,
Jaise dekh mujhe ye ithlaate hain.
Uske jaane ke baad bindiyaan to hata di,
Par unke nishaan ab bhi baaki hain.
Wo meri zindagi main naa sahi,
Par zahan main uski yaad ab bhi taazi hai.
Bahut ragda unhe, ponchha, bada mitana chaha,
Haasil to kuchh na hua balki anjaam ye hua,
Ki humne umeed aur aaine ne apni chamak chhod di.
Nishaan to gye nhi,
humne hataash ho aaine ki kinaari hi tod di.
humne hataash ho aaine ki kinaari hi tod di...-
'Dil' likh rha huin,
Ho sake to 'dil' se padna.
Aur jo 'dil' main utare... read more
#YaadkiBaat
Sainik
Wo nikla tha ek Jung pe,
Is umeed main ki jung khatam hogi.
Wo nikla tha sab chhodke,
Is aas main ki jald hi fir mulakat hogi..
Please read complete poem in caption.-
#YaadkiBaat
कितने ही पुरुस्कार मिले, और शायद कईं और मिलेंगे,
प्रशंसा का रूप कभी पत्र, कभी पदक, तो कभी पैसा है।
पर जिंदगी में सबसे बड़ा खिताब तब हासिल करेंगे,
जब कोई केह दे कि बेटा तू अपने पापा जैसा है।-
#YaadkiBaat
Yun to wo sirf muskurai thi
jane fir kyon dil pe aafat aai thi
Uski nazaren kuchh yun asar kar gayi
Ki wo to chali gyi par humen bechain besabar kar gayi-
#YaadkiBaat
Hum ishq ke kabootar, haan ab kuchh kam dikhte hain,
Par yun na samajhna ki khatm hai vajood humara.
Ki fir lautenge un hi chhajjon pe kabhi,
Jab mohabbat ke khaton ko fir humara intezaar hoga...-
#YaadKiBaat
Nafraton ke is daur main,
Insaaniyat ko samajh paaya huin.
Wo jang khatm karne ke lie hathiyaar laayen hain,
Main dil main bharke thoda pyaar le aaya huin...
-
#YaadkiBaat
Zindagi main har waqt sab kuchh sahi ho,
Ye bilkul zaroori nhi hai.
Zaroori yeh hai ki aap yaad rakhen,
Ki zindagi main kabhi na kabhi kuchh sahi bhi hoga....-