Ayesha Amaarah   (jazbaat-e-hum)
771 Followers · 2 Following

read more
Joined 14 August 2020


read more
Joined 14 August 2020
27 FEB 2023 AT 18:39

पर आसान भी तो नहीं है !!
तुम्हारी हो या मेरी
पर पहचान बनाना जरूरी तो है !!

किस्मत, तकदीर, हालात सब को दर किनारा करके
अपनी-अपनी मंजिल की उचाई पर खड़ा होना तो है !!

-


24 JUL 2022 AT 9:41

Zindagi Naraz Hain
Toh Kya Hum Beparwaah Hain
Asar Hua Bardasht Bhi Kiya
Is Thodi Si Zindagi Mein Kitna Kuch Samjh Aaya
Mushkilon Ki Lehren Bahut Unchi Hain
Humare Kadd Chhote
Par Umeedein Bahut Badi Hain

-


7 JUN 2022 AT 23:20

Ye Do Gaz Zameen Ka Vaasta Aasmano Se Hain Kya
Guzra Waqt Laut Kar Kabhi Aaya Hain Kya
Naseeb Ko Naseeb Ho Gai Jo Taluke Kisi Ki
Chhod Gaya Musafir Kabhi Laut Kar Aaya Hain Kya

-


27 MAY 2022 AT 21:39

Zindagi Se Kehna
Mukaalama, Tujhse Toh Har Roz Kiye Hum
Taluk, Humara Phir Bahut Bura Tha
Taarruf, Kare Kya Ab Hum Khud Ki
Zindagi Ka Diya Dard, Bahut Zayda Tha
Peshkash, Ki Aachi Safarnaame Ki
Sahab Aate-Aate Rah Gai Zindagi
Ki Jaane Kab Kacchi-Pakki Raaston Se
Humara Toh Safar Khatam Kar Gai Yeh Zindagi

-


26 MAY 2022 AT 22:32

Munaseb Hain Ki Dil Ka Haal Baya Karna Ab Bandh Kar Diya Jaye
Babat Uske Ki Uski Hichkiyan Kamm Kar Di Jaye

-


22 MAY 2022 AT 18:59

Khuda Ka Hiba Hain Saath Tera Zindagi Ki Safeenah Pe Meri
Parvez Ho Jayegi Har Khwahishein Meri Jo Doob Gai Safeenah Pe Teri

-


21 MAY 2022 AT 14:24

Is Duniya Ke Masle Itni Bhi Pechida Nahi
Jitni Ki Dil Me Masle Uljhe Pade Hain

-


20 MAY 2022 AT 20:09

Dekhiye Ki Dushmann Humara Zamanaah Tha Kya
Pehra Bhi Uska Tha Khwahish Bhi Uski Thee
Albata-Ah Ki Mohabbat Hi Humara Sara Fasana Tha
Hosh Me Aakar Hum Kare Toh Kya Kare
Jab Ishq Hi Humara Dushmann Bana Nishana Tha

-


7 MAY 2022 AT 21:07

Meetti Ka Insaan
Khud Ko Kaise Bana Diya Beimaan
Zindagi Toh Utaar Chadhao Deti Hain
Waqt Toh Ret Si Phisalti Hain
Tu Kyu Badal Gaya Re Insaan
Itna Khud Ko Kyun Bana Diya Beimaan

-


7 MAY 2022 AT 10:51

Kahi Khoob Hain Baatein Usne Aaj
Waqt Ka Irada Malum Hota Kaha
Tujhe Khauf Tere Mustakbil Ka
Umra Guzar Jaye Woh Manzar Lao Hi Na
Toh Irada Itna Kaccha Kyu Rakha Hain
Apni Chahat Ka
Ek Sukoon Ki Aah Lelo Toh
Raaste Saaf Nazar Aayenge Bas Khud Ko
Ek Dafa Andheron Me Le Ja Kar Socho Toh
Tut Jaye Woh Hausle Hi Kya
Shaam Ki Derr Bahut Ho Jaye Na
Waqt Ko Roak Lo Abhi Bahut Waqt Hain Waha

-


Fetching Ayesha Amaarah Quotes