Patta patta janta hai
Dil e nadaan ki hasrat
Kabhi zindagi ko paane ki chaa
Toh kabhi Aasmaan ki talab
Qatron se samandar ki talab
Mitti se heeron ki hasrat
Patjhad ke mausam bhi kabhi ruke hai kya
Baharon ko bhi toh ane ki umang hai-
๐น๐บ๐น๐บ๐น๐บ๐น๐บ๐น๐บ๐น๐บ๐น๐บ
Indian ๐ฎ๐ณ๐บ๐บ๐บ๐บ๐บ๐บ๐บ๐บ๐บ๐บ๐บ
๐น... read more
Jala kar dusron ki khushiyaan jashan manate hai log
Bedardi se yuhi gam ka mazak udate hai log
Kab tak azaad ghumenge ye zaalim
Kabhi toh rab ka samna karenge ye log-
Khatam hui kuch kahaniyaan
Kuch agaaz e safar naya hua
Zindagi ne aisa sabak sikhaya
Raabta nafraton ka ab shuru hua-
Bahut dur tak jana hai tere sath
Kabhi na khatam ho aisa safar
Jab hath mein mere ho tera hath
Kabhi toh mulakaat hogi khwabon ke dildaar-
Aisi mohabbat ki talash kise na ho
Aisi muskaan ki talab kise na ho
Jo ruth jaun tujhse kabhi main agar
Mana lena has kar mujhe ki naraz tujhse kabhi main na hun-
Jante ho sabar kya hai
Sabar woh mazbut hathiyar hai ki
Ek baar thaam liya toh kisi ke zahar
Jaise teer hamein phir chubte nahi hai-
Jhuti duniya ke shok tujhe hi mubarak
Kal tera hai aj uska hai ye kissa mubarak
Fakat chaar lamho mein badal dete hai ye kahaniyaan saari
Andheron mein doobi jhuti chamak tujhe mubarak
Kitabon ke jahan ke hum deewane se
Humein talab hi nahi kisi ke khone Or mil jane se
-
Kon kehta hai ki patthar dil
kabhi roya nahi karte
Paani ke chashmo se pucho kaise pattharon se milkar dariya bahate hain-
Haya ki chadar mein lipti hui
Phoolo ki mahek jismein simti hui
Naaz hai is khushbu se hamein
Guroor hai is taaj per hamein
Hijab hi hamari pehchan hai
Ye parda hi hamari shaan hai
Mere rab ki di hui ye izzat ki chadar
Jisper hamein naaz hai
โ % &-