Tum khwab bhi ho,
Mujhe yaad bhi ho,
Mera din bhi ho,
Meri raat bhi ho,
Mere ishq ka agaz bhi ho,
Meri ashiqi ka anjaam bhi ho,
Mera lafz bhi ho,
Alfaaz bhi ho,
Mere har kafiye ka jazbat bhi ho,
Mere asman ka mehtaab bhi ho,
Tum hi jana aftaab bhi ho,
Meri zindgi ka sehra bhi ho,
Meri zindagi ka gulzaar bhi ho,
Mere liye abshar bhi ho,
Mere asuon ki katar bhi ho,
Mere labon ki hasi bhi ho,
Mera khayal bhi ho,
Meri gumnami ka sabab bhi ho,
Meri wafa ki tum pehchaan bhi ho,
Mere dhdhkano ka saaz bhi ho,
Meri tanhai ki awaz bhi ho.
-