Is it a cave deep
Or an oblivious sleep?
Started to love the silence around..
And keeping it all inside bound..
For a long journey which goes
To the end no one knows..
Yet there's a chaos
And its silence..
One who speaks is unheard..
-
Kisi shaakh ki talash me
Ek parinda bhatakta hua sa..
Khurdure raston pe
Nange paaon chalta hua sa..
Fikr ghar jane ki par shayad use khabar nahi..
Ki us aangan me ab dhoop kahan,
Tulsi bhi ab sookh chuki,
Kuch khar patwar ug aaye hain wahan par,
Pardon pe dhool bhi jam gayi hai,
Mano chhipane ko kitna kuch ho,
Deewaron pe likhe kisse jaise..
Ulte paaon laut jata hai parinda
Jab shaakh pe patte nahi milte..
Fir kahin naya ashiyana banane ko
Khar patwar jutane ko..
Peeche chhoot jati hain to bas
Wo tulsi wo aangan or uski mehak...
-
Ye adna sa wajood humara
Mutthi bhar me simat gaya..
Dekhnne wale dekhte rahe
Ye kaisi ruswayi thi..
Sab kuch paa lia tabhi humne,
Jab usne hath thaam lia..
Kaise bataoon tumhe main
Kitni gehri khaayi thi..
Andhera nahi us jahan me
Charon or roshnaayi thi
Aisi zindagi ki aas me hi
Humne mashal jalayi thi...
-
Agar tumhein takleef na ho to sawaal karoon,
Ye haq mujhe do toh sawal karoon,
Ki daman me bhar k gham tumne
Apne hisse me kya paaya..
Toote hue khilauno ko kahan kahan chhipaya tumne?
Ye bata sako to or bhi sawal karoon
Ye haq mujhe ho to har baar ye sawal karoon..
Ki kabhi aaine me khud se nazar milaya tumne
Aankhon me khudgarzi k siwa kya paaya..
Bikhre kaanch k tukdon ko kis chadar me sameta tumne??
Hain sawal or bhi baaki, kaho to or sawaal karoon?
Jawab dene ke haqdaar hote
To or bhi sawaal karoon..
Par humrah ki talash me or kitna bhatkoge..
Gar mukammal karna chahte ho ishq ko,
Pehle soch lena ki ishq ki dehliz pe kitna behkoge..
Lipat kar guroor tumse har pal ye sawaal karega
Jab wajood tumhara na hua toh kharch kyun behisaab karoge..
Waqt ko, mohabbat ko, pehchan ko, aaram ko..
Apne gilaf se mamuli sa tohfa de dena
Use apni khudi ki raakh de dena..-
Ye jo vaadiyon ka shor hai
Ye goonj hai sadaaon ki..
Ye jo maddham sangeet hai
Ye nagme hain baaharon ki..
Ki mehakti si fizaaon me
Chamak uthi shikhaaon me..
Kahi jo chhip rahi hai inme
Wo bekhayal kahaniyan..
Ki jinko main hoon bun raha
Ye baatein hain adaaon ki..
Ye jo hawaaon me thand hai
Ye aahein hai dishaaon ki..
Ye jo raushan aftaab hai
Ye nisha hai un duaaon ki
Jo ho gaye kubool jinki
Farishton ne fariyad ki..
Kahin jo kho gayi hai inme
Wo behaya hasratein
Ki jinko main hoon dhoondhta
Wo baat hai ehsaas ki...
-
Wapas aa jaaoon
Dooriyan mita kar phir ek ho jana
Aasan hota to kab ka
Nadiyon k do kinare mil gaye hote..
Aasan hota toh kab ka
Din or raat ek ho gaye hote..
Haan maine bhi us dard ko dekha hai
Pal pal yaad kar tumhe mehsoos kia hai..
Par wapas aa jaaoon
Us mod par fir se
Jahan raahein juda hui tumse..
Tufaan ko cheer kar fir se
Jo thami nahi us din se..
Baarish mere b aansoon chhipa leti hai
Lekin rooh ko thandak nahi de paati..
Kyunki Wohi tadap hai or wohi jalan
Koi sozo dil me kami nahi..
Jo laga k aag gaye ho tum,
Wo lagi hui hai bujhi nahi...
Par wapas aa jaaoon..
Ab aasan nahi..
In se kahin aage badh kar sukoon milne laga hai mujhe..
Jeene ki aadat daal li hai aisehi
kyunki ab aasaan nahi..
-
Kyun...
Lad raha hai apne hi bune sawalo se nadan ye dil??
Kyunn
Jeene ki nayi nayi wajah talash kar raha masoom ye dil..
Ye baarishein, ye bijliyan
Ye rangatein, ye sardiyan..
Kyun inko peeche chhod uddne ko yoon betaab hai..
Kyun khwahishon k aage itna majboor ho raha hai..
Ye sangeet hai us preet ki
Jo na mili us jeet ki..
Ye boondein hain sadaaon ki
Jinme mithas hai yaadon ki..
Inko samet kar kahan kahan kaid karne ki saazish kar raha hai dil?
Kyun
Jeene ki nayi nayi wajah talash kar raha masoom ye dil??
Ye dhundh hai us raakh ki, jo bujh chuki us aag ki.
Nahi lagi, lagi kabhi, lagan jo jalan hai aaj bhi..
Ye shaam or ye baarishein
Ye aaj hain or hain kal bhi
Nazaare jo aaj hai khoobsoorat wo hain kal bhi..
Kyun
Un nazaaron k lie camere ka mohtaaj hai dil...
Kyun
Nagmo ko diary me likhne ko betaab hai dil..
Kyun!!
-
Nishabd or nistabdh
Prakriti ki komal kaaya se or kathor krtiyo se
Ki jinme sooraj sa taap bhi sheetal aasmaa bhi..
Nipun or nischal
Baalak ki bhook bhi or balwan sa tej bhi..
Baaz ki udaan bhi or baazigar ki chaal bhi..
Nidar or nispaksh
Nyaay ka tarazoo bhi or band aankhein bhi..
Ram ki maryada bhi or raavan ka ahankar bhi..
Nitya or nirantar...
Chalta ye samay bhi or jalta bujhta deepak bhi..
Karmo ka hisaab bhi or azaadi ki aas bhi..
Ki Sab yoon hi nahi
Akaran inka astitva nahi, anant inka abhipray hai.
Anuttarit in prashno ka uttar bhi agyaat hai..
Ki sab yoon hi nahi..
Aneko pehlu hain jiske, koi ek sach nahi..
Ke sab yoon hi nahi..
-
Kuch is tarah unse mera raabta ho gaya,
Ki lamho lamho me sadiyon sa waasta ho gaya..
Wo uljhe rahe meri nazron se is kadar,
Jane kab aankhon se dil ka raasta ho gaya!!
Tham gayi dhadkan us zara si gustakhi pe,
Ki ab saanso ka chalna bhi aahista ho gaya!!
Jab se humein mohabbat hui khudaya,
Humare lie toh har shaqs farishta ho gaya!!
Rang bikhar gaye or ghul gayi sham,
Jab mehfil me unka husn bepurdah ho gaya!!
Kuch yoon jaanisar hue hum unpe baarhan,
Ki ye kafir zamana humse judaa ho gaya!!
Jab se us or jaate dekha hai unko,
Un galiyon me roz ka aana jana ho gaya!!
Wo muskura dein to eid hai meri,
Warna har din mera ek afsana ho gaya!!
-
Zara si khamoshi,
Bahare anjuman me kuch shokhiyan bhi to thi..
Zara si berukhi thi or zara si ruswayi,
Kambakht ishq me rawaniya bhi to thi...
Zara si zidd thi or zara si nadani,
Dekhne dikhane ko khudgarzi bhi to thi...
Kehnne ko to bahut kuch tha, par sunne ki kise padi thi,
Aage badh jaane ki jaldi bhi toh thi...
-