Tarazu Nahi inke pass Mera sach toalne ko
Ungliya Uthaye Hai Jhoote mujhe toadne ko
Zara Batao inhe kis rabb ka bandahu mai
Jo Ek raasta bandh Karta hai Hazaar kholne ko-
Mere humdard mujh pai dard aur zuloom kare....
Dua khuda se unke darjo ko buland kare...
Sikandar jaise ki qabr ka thikana nahi hai...
Yaha bande mitti ke kis baat ka ghamand kare-
Jab Tulenge Amal Tere Mizaan Par
Tabb Khulega ke Khota Khara Kaun hai-
Kabhi Ayyashi...Toh Kabhi ki hai Mehkashi yaro..
Par Asal mai Khagayi Hume Dillagi Yaro...
Hai Zimmedari Toh zinda Hai warna
Naqaam Ishq mai Jayaz hai Khud Khushi Yaro-
Thodi si Chalaakiya mujhe bhi sikha de aye zindagi...
Iss Dour mai Masoomiyat Mahengi padh rahi hai-
Takiye Bheeg Rahe hai Khare Paani se
Jabse Kirdaar Alag hua hai Meri Kahani se
Yaha mai Chup si ladki se nazre nahi Mila Raha...
Aur woh Apna lahenga Mila Rahi hai sherwani se-
Uski Aankho ne Cheeni Humse Hamari
Khuddari Warna....
Laat Maar kar
Paau Ki Thokar se Kardeta Tha Mai Duniya Ek Taraf
-
Zindagi ko tanha Viraano Mai rehne do
Ye Wafa Ki Baate Khayalo Mai rehne Do
Hakikat mai aazmane se Dil Toot Jaate Hai aksar...
Ye Ishq Dosti Aur mohabbat Kitabo Mai rehne do-
Guzre Hai Hum Aaj Ishq Ke Woh Mokaam se..
Ke
Nafrat si Hogayi Hai Ishq Ke Naam Se-
Tujhe Ghamnd hai apni Khoobsurati par....
Ke tujhpe 100 ladke marte hai....
Toh tujhe bata du Meri jaan woh 100 ladke harr ladki par marte hai...-