Awaaz 'e Khan   (Allah)
117 Followers · 377 Following

Born as writer
Joined 23 August 2020


Born as writer
Joined 23 August 2020
5 MAR 2022 AT 23:39

Gunaoh me Aziyat hai ,Neki me sukoon hai .

-


5 MAR 2022 AT 23:39

Apne Akhlaq ko phool jaisa bano taki Tumhe dekhne or sunne wale , khushbu hasil kar sake .

-


1 MAR 2022 AT 2:47


Hazrat Younus A.S kitna time machli k pait me rahay??
Is duration k baray me conflicts hain. Shayad subah se sham tak ka time. 3 din, 7 din ya 40 din…
Is time duration k baray me different qaul hain. Allah hi janta hai k kitnay din machli k pait me rahay. Wallah a’alam

-


1 MAR 2022 AT 2:47

Aik qaul k mutabiq us machli ko aik dosri us sy bhi bari (huge) machli ny nigal lya tha. Is trah aap 3 trah ki tareki’oun(darkness) me qaid hogae thay (samandar, aik machli, dosri machli).
Kehtay hain k jab Younus machli k pait me theher gae tau aap ne guman kia k shayad main marr gya houn. Tau aap ny az’aa (organs) ko move kia. Phir aap ko pata chala k aap zinda hain.
Aur foran Allah k lye sajday me chalay gae aur Bargah e Rabbul Izzat me arz kia,
“ Ae Parwardigar, main teray lye aisi jagah masjid (sajdah-gah) banata houn, jahan ksi dosray ne teri ibadat na ki hogi..”.

-


1 MAR 2022 AT 2:46

Idher Allah Ta’ala ny “Behr-e-khizr” se aik azeem (huge) machli (fish) bheji aur Allah ne usko hukm farmaya k (ye Hamari amanat hai) iska gosht na khaye aur na iski ksi haddi ko koi nuqsan phunchay. Kioun k ye tera rizq nahi hai.
Tau machli ne ba-hifazat Allah ki amanat ko apnay wajod me samo lya aur unko laiker tamam samandar’oun ka tawaf kia.

-


1 MAR 2022 AT 2:46

Jab lucky draw kia gya tau Allah k Prophet Younus ka naam nikla. But log ap ki wajah se is draw pe agree na hue. Lehaza dobara lucky draw kia gya tau phir aap ka naam aya. Aap ne kapray utaarnay start kar dye ta k samandar me jump kar k kashti waloun ko musibat se nijaat dilwaen.
But kashti walay na manay aur phir 3rd time draw hua. But Allah jo chahay wo hi ho kar rehta hai. Aur is baar bhi Younus ka hi naam aya. Is baar aap ny samandar me jump kar dya.

-


1 MAR 2022 AT 2:45

Jab lucky draw kia gya tau Allah k Prophet Younus ka naam nikla. But log ap ki wajah se is draw pe agree na hue. Lehaza dobara lucky draw kia gya tau phir aap ka naam aya. Aap ne kapray utaarnay start kar dye ta k samandar me jump kar k kashti waloun ko musibat se nijaat dilwaen.
But kashti walay na manay aur phir 3rd time draw hua. But Allah jo chahay wo hi ho kar rehta hai. Aur is baar bhi Younus ka hi naam aya. Is baar aap ny samandar me jump kar dya.

-


1 MAR 2022 AT 2:45

Apni qaum se naraz ho kar Younus A.S chal paray thay.
Agay ja kar wo aik kashti (boat) me sawar hogae. Kashti agay ja kar larkharanay lagi (disbalanced) aur mojoun aur bhanwar me phans gae.
Actualy boat apnay andar mojoud weight ki wajah se gharq (drown) honay lagi thi.
Logoun ny kaha k ye wazan ki wajha se kharab hai, lehaza lucky draw kar k jis ka naam niklay usko samandar (ocean) me daal do., ta k kashti ka bojh halka ho jae.

-


1 MAR 2022 AT 2:41

Bismillahirrahmanirrahim

✦ Dua–e-Yunus Alaihi salam
✦ La ilaha illa Anta subhanaka inni kuntu min Az-zalimee

-


1 MAR 2022 AT 2:39

رَبِّ اشْرَحْ لِي صَدْرِي وَيَسِّرْ لِي أَمْرِي وَاحْلُلْ عُقْدَةً مِنْ لِسَانِي يَفْقَهُوا قَوْلِي
Rabbish rah lee sadree Wa yassir leee amree Wahlul ‘uqdatan milli saanee Yafqahoo qawlee
“My Lord, expand for me my breast [with assurance] And ease for me my task And untie the knot from my tongue That they may understand my speech.”
Surah Ta-Ha Ayat 25-28

-


Fetching Awaaz 'e Khan Quotes