Har baar socha, abki baar beda paar hoga,
Par wahi galtiyon ka silsila fir se tayaar hoga।
Books khuli thi, par dil phone ke pass tha,
Sapna doctor ka tha, par focus kisi aur raas tha।
-
Pichle saal bhi books khuli thi, par man bhatak gaya tha,
Time table banaya tha, par discipline sabse kat gaya tha।
Jo chapter tab chhod diye, unhone rank ke raaste tod diye।
Ab fir wahi galtiyan repeat kar raha hai tu,
Par result alag chah raha hai tu?
NEET ek chance hai bhai, mauka nahi baar-baar aata,
Jo aaj nahi jaagega, kal fir “drop” likhwa lata।
So uth! Ab syllabus nahi – attitude change kar,
Tere dream college tere focus ka hi toh wait kar raha hai yaar।-
Kisi aur ki galti ki saza sabko kyun milti hai,
Jo todta hai dil, uski to zindagi hi silti hai...
Par jo khud saaf tha, woh bhi ro ke so jata hai,
Galti kisi aur ki thi, par bharosa sabka toota jata hai।
Ek ki selfishness mein sabka sakoon jalta hai,
Aur bechaare khamosh log andar hi andar pighalte hain।
Shayad yahi rule hai duniya ka —
Jo bigaadta hai, woh bach jata hai...
Aur jo nibhata hai, woh hi saza paata hai।-
Jo barish kabhi kaam ke wakth me khalti hai
Wahi wahi barish khali samaye me sukoon deti hai-
Main kyun thak gaya, ek toofan se ghabra kar,
Jab raaste naye hain, toh soch bhi naye iraade rakh kar!
Har andhera, meri roshni se kaamp uthta hai,
Mera wajood har museebat par nishaan chhodta hai।
Girna galat nahi, ruk jaana nuksaan hai,
Sapne unhi ke hote hain jo jaagte hain, banate pehchaan है।
Main sirf ek naam nahi, ek iraada hoon, ek aag hoon,
Jo apne andar hi kranti ban jaaye, wahi bhaag hoon।
Main bhaag nahi sakta, yeh meri zung hai,
Zindagi meri hai, toh har jung bhi meri hi dhun hai।
Meri soch mera hathiyaar hai,
Aur mera jazba hi mera asli asar hai।
Uth gaya hoon, ab poora hona baaki hai,
Ye toh bas aaghaz hai, anjaam tak jaana baaki hai।
Khud ke liye jeetna ab zaroori hai,
Kyuki mere jaise kai logon ko abhi bhi roshni chhooni baaki hai।-
Main kyun ruk gaya, ek tooti si haalat se,
Jab zindagi har mod pe mujhse himmat maangti hai salamat se।
Ek thokar ne kya bigaada mera,
Main toh wahi hoon, jo kabhi khud apne liye bhi khada tha sabse zyada!
Girte hain sab, par main kyun naa uthun,
Main woh naam hoon jo haar ke bhi jeet chune।
Andhera ho ya tanhaai, sabko sehne ki aadat hai mujhmein,
Main apna dard bhi muskaan bana deta hoon pal mein।
Main bhaag nahi sakta, yeh meri ladai hai,
Sapne mere hain, toh zimmedari bhi meri hi bhari hai।
Soch meri talwar hai, aur jazba mera dhaal,
Main chhota sahi, par iraade hain kamaal।
Ab nahi rukunga, chahe raat lambi ho ya raaste tanha,
Main khud apni roshni hoon, khud hi apna sahara banna।
Jeetna sirf maqsad nahi mera,
Par jeet ke kisi aur ko bhi jeene ki wajah dena hai mera faisla!
-