Tu jaan hai meri yaar
yaad rakhna ki abhi iss dosti ko
aur aage le jana hai.
Happiest Birthday
chal ab jaldi jaldi batana ki ab party ke liye
kaha aana hai?-
atul baghresh
(©Atul)
54 Followers · 33 Following
Follow on Instagram @my_shayari_ & @storyteller_ab
Joined 20 December 2017
14 APR 2024 AT 13:02
1 MAR 2024 AT 0:35
Kyun nahi mehsoos hoti
usey meri taklif,
Jo kabhi kehti thi
bahut ache tarah se jaanti hu tumhe..-
24 FEB 2024 AT 20:47
Ab usey nahi padta farq to kya kare
aage badhna to chahte hai
par ab badh sakte hi nahi..-
27 JAN 2024 AT 18:03
Paryaay ho khubsurti ka tum
ye waadiya bhi tumhare baad aati hai
Chidhi hai baat sughadhta pe to
bas teri muskurahat mujhe yaad aati hai.
Kehna hoga tumse to itna hi kahunga
tum hasti raha karo me khush rahunga
Jab bhi khoobsurti ki baat aati hai
teri muskurahat mujhe yaad aati hai..-
1 JAN 2024 AT 13:30
Mujhe tere khwabon se pyar itna hai ki
khud ko unke liye nisaar kar du,
Karu bas tujhse mohabbat itni
aur apna ye saal tere naam kar du..-
31 DEC 2023 AT 14:24
Mein dhundh lunga jawaab saare
jese dhundhta aaya hu.
Tum rakh kar apni nazar mujhe pe
apna waqt barbaad mat karo..-