ATROCITY   (Indefatigable)
3.2k Followers · 14.9k Following

read more
Joined 5 February 2018


read more
Joined 5 February 2018
15 AUG 2021 AT 11:23

Paid Content

-


15 AUG 2021 AT 11:21

Paid Content

-


5 DEC 2020 AT 23:19

PAPA Aap jism sa nahi aap rooh sa ho.
Har sapne pura karne ka khuda sa ho.
Mein phool toh aap malin ho.
Aap jad ho toh mein daali hoon.
Aap ke bina mein khali hoon.
Pet ke bhook se jyada aap rooh ka sukoon ho.
Aap toh mere rag rag ka fitoor ho.
Har khwab apke bina adhura hai.
Har rasta aap ke bina soona hai.
Baat nahi karta hoon par yaad zaroor ate ho.
Har daant mein kuch sikha bhi jate ho.
Ladka hoon toh bhavuk nahi dikhata hoon.
Gale milna thoda katrata hoon.
Pyaar bahut hai bas nahi jatata hoon.
Ladka hoon na isiliya ehsas nahi batata hoon.
Kuch batein karni hai humare bare mein .
Kuch waqt bitana hai wohi sirhane mein.
Kuch kisse sunne hai aapke.
Kuch kisse mere bhi sunana hai.

-


30 SEP 2020 AT 10:05

Kyunki yeh rishtey zaroorat ke waqt kaam ate nahi.
Apna farz kabhi nibhatein nahi.
Apno ko uchai ko chutein dekh unhein bhatein nahi.
Aise rishtey hum chahatein nahi.

-


13 SEP 2020 AT 23:20

Writing down the story of failure and glory.
Where the bitter words of the world is dragging me down.
I am in the midst of crowd where i am uncount.
I tried to scream but nobody could hear.
I am silent and composed like i met my fear.
My hobby is dying my heart is lying even though i am unable to cheer.
Just trying to find myself that same old boy.
Adjusting in the world and trying to enjoy.

-


11 SEP 2020 AT 19:31

Tum dev lok ke ram ho, toh mein asur lok ka ravan hoon
Tum vishnu ke avtaar ho, mein bhi shiv bhakt ravan hoon.
Tum pati parmeshwar sita ke toh mein bhi shurpnakha ka bhai hoon.
Tum dev lok ke kshatriya, mein asur lok ka brahman hoon.
Tum ram bhais mein vishnu ho, mein sabse bada gyani hoon.
Mera mastak lagado mati par shiv ka hi mein dhyani hoon.
Tum ram ho mein ravan hoon is mein naya adhyay likunga.
Asur hu main aaj toh kal har insaan ke bartaw mein dikunga.
Aaj rajya alag hai kal jism hoga ek.
Asuron aur devon ko milake insaan hoga anek.


-


11 SEP 2020 AT 19:26

Mere har baat mein tum ho.
Aur tumhare har baat mein, Main goom hoon.
Khuda ki haar sazish mein meri khwaish ko toda hai.
Jisse bhi mohabbat ho usse piche choda hai.
Kis mukaam tak khuda bhi rakhna chahata hai mujhse meri zindagi ke khushi se door.

Hadhe paar ho chuki hai meri intezaar ki.
Maine bhi chord diya hain karna lafzo ka karobaar ab leke baitha hoon guroor

-


30 AUG 2020 AT 0:00

Har kisi ki guzarish mein khudko tanha paya hai.
Har kisi ki khwaish mein khudka sapna jalaya hai.
Apno se shikwa nahi khud se gila nahi.
Sapno se hara hoon.
Khudko hi sawara hoon.
Bhagwaan ko hi pyaara hoon.
Rotein haste usko hi pukara hoon.
Mujhe pata hai abhi tak main yeh Zindagi kaise guzara hoon

-


21 JUL 2020 AT 0:12

Apne sapne ko muqammal karne chala tha.
Jahanum ki sair kar aya.

Apne sapne ko muqammal karne chala tha.
Jahanum ki sair kar aya.

Raazi na hua badalne apna taqdeer bhi .
Toh maine apna maut ka darwaza khat kahtaya

-


19 JUL 2020 AT 20:18



Zindagi meri khwab sa hai.
Hassi meri naqaab sa hai.
Roya hoon itna ghut ghut ke main.
Har lafz meri jazbaat sa hai.

Maan ke andar dard ka daag sa hai.
Koyal ki koo jaise koi raag sa hai.
Par khwabon ki zindagi jaise khwaishon ka baag sa hai.
Har koshish meri na paak sa hai.


-


Fetching ATROCITY Quotes