Har kisi ki manzil taye hai
Har kisi ko kahi na kahi hona hai
Ek hum hi bemanzil aur la pata hai
Ek hum hi hai jisko kisi me khona hai-
Jismani rishte dekh raha hu par Roohani ki talash hai
Apke aur humare rishte me aap abhi kaash hai.
-
Barish bhi ajeeb khushi de jaati hai
Zameen ko bhiga ke hawa ko thandak de jaati hai
Be waqt barasti hai, be mausam bhi kabhi kabhi
Aur jab na barse toh usse shikayat si ho jaati hai
Rishton se kuch lena dena nahi hai iska
Par har rishte me yeh ek ahem lamha ban jaati hai
Bin bulaye yeh kabhi bhi kahi bhi aajati hai
Tang bhi karti hai par ahem bhi uthni ho jaati hai
Khidhkiyo se toh aksar yeh dikhti hi hai
Aur kabhi kabhi dewaaro me bhi nazar ajaati hai
Ajeeb sa rishta hai iska zaamen se Rehti asmaan me
Aur baras ke zameen zindagi ko de jaati hai
Rishta hai isse kaafi purana aur gehra humara
Jab barasti hai toh zameen ko khushbu aur chehre ko muskaan de jaati hai...-
Is saal ki Eid shayad yaad reh jayegi
Sadko pe kamoshi dekh shoor ki yaad aa jayegi
Naa ana hoga na kahin jaana hoga is baar
Khushiyan ab phone'o se baati jayegi
Seene se laga mubarak baad dene ki rasm
Ab ek whatsapp message se ada ki jayegi
Itehaas si lagne lagi mulakate ab saari
Aur insaan ko insaan ki kami khalne lag jayegi-
Dur dur tak koi dikhta nahi hai
Adam toh tha par koi us jaisa nahi hai
Insaano ka masla bas yehi hai
Chalta hai iblis ki rah pe sunta khuda ki nahi hai-
Logo ne yaha numaish laga rakhi hai apne jazbaato ki
Apni dard aur khushi ki inteha yeh dusro se pata karte hai
-
Dil ne Qaid kar liya hai har Jazbaat'O ko
BeJaan se kardiya hai mere Alfaaz'O ko
Bas saade lafz hi nikalte hai ab hamesha
Jabse Dil ne jana hai dard ke Bazaar'O ko
-
Karib se jo dur dikhte hai
woh dur se kyu karib dikhte hai,
Kehte hai fasla hai bahot
par milte kyu naseeb dikhte hai.
-
Misale duriyon ki shayaro ne di bahot hai
Zameen-asmaan ki kahani mashhur hui bahot hai
Karib se aksar dikhte hai dono dur hamesha
Par dur se dekhe toh unme nazdikiya bhi bahot hai
-
Mere ishq me ab woh baat nahi hai
Agar hai toh tu kyu saath nahi hai
Dil ki zameen toh sukhi bahot hai
Badal toh hai par barsaat nahi hai
Ab kya gile shikwe karna usse
Jo kahe alfaaz hai par jazbaat nahi hai
Kyu har waqt uska zikr zaruri hai
Par uske alawa karneko koi baat nahi hai.
-