laapata hokar. kya pata. ye kya dhundtey hian.?
kehtey hain. khushiyon ka pata dhundtey hain.-
puchtey hain. ussey dekhney ka asar kya hota hai.?
bhool jata hu. din kya. shaam kya. sahar kya. yeh bashar kya hota?-
.
kabhi dost. toh kabhi dushman kehta hai.
kya. kahu ye dil ab kya..kya sehta hai.
-
talaash rahey ho jiss chehrey ko. chipa hai tasveer k pichey kahin.
Aag abhi bujhi nhi hai. chingari dabi hai raakh k nichey kahin.-
rehnedo..! ab matt pucho. unki
shakshiyat k baarey mey.
zubaan ka to pata nhi. dil me dard hota hai unki burai sey.-
aaj. yaad aaya.. aakhri khatt ka woh aakhri jumla..
jab usney. RAQIB sey kaha.
"meri saanson me basney waaley meri jaan ho tum"-
Kuch der aur thahar jaatey mere khayalon ki mehfil me.
Log khamoka kehtey hain tum kissi aur k ho..
-
Hum Arsh ko chaley gaafil teri talaash me.
kayaas karney me kya jata hai. aakhri saans me.-
Kuch iss andaaz se hame nazar andaz kiya.
Sab ne kiya toh kiya.. usne kiya toh kya kiya..-