Youn he baithe baithe aankho me aansu aa jate hain
Zindagi ko jab jab bhi ham tanhai mein socha karte hain
Kiya paya kiya khoya inn sab se mujh ko hai bhut garz
Aur sochte sochte ham kisi dasht o sahra me kho jate hain
Zindagi tujhe kiya kahu tune mere saath kaisa hai khel khela
Apni bejaan hasrton ko liye ham dar ba dar phira karte hain
Jalayen hain aankhon mein hamne khwaab shama ki tarah
Zayada jalne par aankhon me ye der tak jal bhi nahi sakte hain
-
Writer✍️
Baithe hain Sahil par badi der se afsurda
Kisi ko yaad kar rhe hain ye zaruri to nahi
Mere khayal se ab tere khayal tak me na rhe ham
Mere khayal se ho ye khayal galat ye zaruri to nahi-
Wasal ki pehli shab aur un ka naaz se ye kehna
Sach bataye kiya karege shama bujh jane ke baad-
Koi to dekhe hamari be-babasi asif
Ham sabhi ke ho jate hain koi hamara nahi hota-
Dil ki choto ne kabhi chain se rahne nahi diya
Jab chali sard hawa maine tujhe yaad kiya-
Kaash hamara bhi koi hota jo kehta
Bhot miss kar rhe hain tumhe...-
Tere saath ke lamhe itni raftaar se guzre
Jaise kisi bachhe ka din itwaar se guzre..-
زندگی شاید اسی کا نام ہے
دوریاں مجبوریاں تنہائیاں
Zindagi shayad isi ka naam hai
Dooriyan majbooriyan tanhaiyan-
Achhe humsafar ka saath insan ko,
Mushkil raaston mein bhi thakne nahi deta,-