Kisi ka tasavvur sone nahi deta...
Kisi ka tasavvur rone nahi deta...
Mohabbat ke bhi alag-alag Faraiz hai janab
Ek marne nhi deta...
To dusra jeene nahi deta...-
Lafz-e-poet
Collab with us ,send your poetry with your name picture for... read more
Khud ko khud hi samjha rahe ho
Are tum kise pagal bana rahe ho
Ye jo log hai na ye kisi ke nahi hai
Khair chorho jaane do
Mubarak ho tumhe ye saap jaise log
Kamaal hai , tum enhe hi gale laga rahe ho-
Kuch faisley galat ho gaye
Kuch insaan galat ho gaye
Sabar kiya tha jiske liye
Uske anjam galat ho gaye-
Sabar ki aajmaish hai
Imtihan ki ghadi hai...
Thoda waqt aur bs
Manzil pass hi khadi hai...-
Ki nigahen nahi milti
Ek waqt ke baad,
Ek waqt ke baad
Chehra bhi yaad nahi rehta
Yaad to rehta hai wo shakhs
Jindgi bhar
Bs jakhm bhar jata hai
Par nishan nahi mitta-
khamoshi ke alfaaz kuch aur kehte hai
Dil ke dard Sab dabaye baithe hai
Har ek ko chahat hai koi to sune uski
Bs yhi aash sab lagaye baithe hai-
Ek waqt se maine kuch likha nahi
Ek waqt se hadsa koi hua nahi
Gumnami ke andhere mein aisa khoya
Aaj talak fir sawera hua nahi..-
Jo tadapte the baat karne ko
Aaj baat nahi karte
Mil sakte hai
Fir bhi mulakaat nahi karte
Waqt badla nahi badal liye dono ne khudko
Saath to hai
Par filhal ek dusre ko Humsafar keh nhi sakte-
Yaad fariyaad hum kare...
Mohabbat bhi hum kare
Izhaar bhi hum kare...
Galti ho jaye koi
To maafi ki talab bhi hum kare...
Ek tarfa nibhana hai mohabbat ka rishta
To chalo na fir tum apni karo
Aur hum apni kare...-
Yaad fariyaad hum kare...
Mohabbat bhi hum kare
Izhaar bhi hum kare...
Galti ho jaye koi
To maafi ki talab bhi hum kare...
Ek tarfa nibhana hai mohabbat ka rishta
To chalo na fir tum apni karo
Aur hum apni kare...-