Roothe toh manana chalta hai, roye toh hasana Banta hai,
Ab pyaar jo itna ho Gaya hai tumse,
Toh thoda sa pyaar dikhana toh Banta hai.-
Tere saath ho kar, hum khud ki shakshiyat bhool hai,
Chal, aaj , ek dusre Ko ,kal se thoda zyada pehchaante hai.
Pyaar toh yun,tumse kal bhi Kiya tha humne,
Chal, aaj , kal se thoda zyada, ek dusre ke ho jaate hai.-
Kitaabon se zyada ab , hum tumhe padhna chaahte hai,
Zindegi ke maayne, ab tumse samjhna chaahte hai,
Adhoore pade the mere zindegi ke panne,
Tumhaare naam se hi ise, ab pura karna chaahte hai.-
College ke baad shehren badal jaati hai,
Zindegi apne saath saath, hume bhi badalti jaati hai,
Laakh hum chaahe ki puraani yaadon ko thaame rakhe,
Par yaadein toh choro, puraane dost bhi dheere dheere choot jaate hai.-
Sabse pehle nahi, toh chalo aakhri hi sahi,
Ikkraar nahi ,toh chalo inkaar hi sahi,
Bas keh dena tum jo bhi tere dil me hai,
Jo Pyaar nahi, toh chalo bewafaai hi sahi.-
Lawzon ke daayre me tumhe jakadna nahi chaahte,
Dil me basti ho tum, dil se nikaalna nahi chaahte..
Jo keh de tu ki pyaar humara bas ek naadaan si bhool hai,
Toh tu bhi jaan le ki aisi bhool ko hum sudhaarna nahi chahte.-
Humare saare lawz tum me hi khatam ho gye aur tumhara jawaab bhi na aaya,
Samajhne ki koshish bahut ki,par fir bhi tera pyaar samjh na aaya,
Ab kuch is tarah se bass gayi ho dil ke makaan me aakar meri,
Is kambakath dil ko, makaan maalik aur kiraayedaar me fark hi nahi smjh aaya .-
Kahani toh badi lambi hai, bas hum batana nhi chaahte,
Ishq toh bada purana hai, bas hum jatana nhi chahte,
Nahi bataate kisiko ki kaisa ishq tha humara tumse,
Kyoki ishq ke baazaar me, bas firse khud ki neelaami nhi chahte.-
Aisa nahi hai ki hum tumhe bhool gaye,
Kai gumnaam khat, humne tumhaare naam hi likhe the.-
Tujhe baahon me bharne ka dil karta hai,
Teri zulfon me ab kho jaane ko dil karta hai,
Ab kya kahe tujhse kitna ishq ho gaya hai jaanemann,
Ab toh bas teri aankhon me doob jaane ko dil karta hai.-