Ek band kamra
Kuch Chhalke aansun
Aur meri yadon ki gehrayiyan
Ek sukoon hai
Ek kashish hai.....aur yakinan
Phir se chal padne ki aarjoo bhi.....
Ek band kamra
Kuch purani siskiyan
Aur mere apno ki kahaniyan......— % &-
Tum pure kisi ke nahin
Ek tukde mere ho ..
tum raat ko kisi ke bhi sahi
Par subah ki sansanahat mere ho— % &-
Chalo ab alvida kehte hain ek dusre ko
phir milenge kisi mod par
agar takdeer ne chaha to
main tumme mere lie narazagi ko wajah bana lunga
par tumhe bas mere pyar se kaam chalana hoga........-
Amidst all the chaos
of black and white
of the dwindling spark of my
heartbreaking and pittyful woes
the choice of gray
may or may not be suffice
but that's only what
I can and have to choose....-
तुम भी एक हिस्सा थे
कोई और भी आगे
हिस्सा बनेगा
ये सफरनामा जिदंगी का
यूँ ही कटा है
और कटता ही रहेगा-
Kuch gum ho gaya
Bahut kuch paa lia hai
Najane kitno ko hi kho dia maine
Par ab khud ko hi paa lia hai-
Koi ek sham aise guzre
main shabdon se yun hi khelta jaun
Tum thoda jo muskurao, to
Tumhe tahake ki hasi hasaun
-
Nahin chahta tha tumhe
main shabdon mein pirohun
Par kya karun main har roz toot jata hun.
jo tumse judi dor thi usme wo meri didi ulajhati ja rahi
Kyun gae tum chhod kar unhe
aise bin batae in haalaat mein
Unki umra to dekho ab tum bin
to jaise tham si ja rahi-
कुछ लिफाफे बंद नहीं हो पाते,
इसलिए कुछ पङे लिफाफे
मैं खोल नहीं पाता
कहीऺ शब्द, ठहरे बादलों से
हर बार बरस जाते हैं
और कहीऺ रेगिस्तान की ज़मीन सा
एक भी शब्द की फुहार नहीं होती....-
Aisa nahin hai ki akela hun
Par koi saath hai
Aisa kuch
Mehsoos nahin hota.....-