Ashutosh Mishra Ā  (Ashu)
18 Followers Ā· 10 Following

Somebody who is lost within himself
Joined 24 April 2018


Somebody who is lost within himself
Joined 24 April 2018
26 JAN 2021 AT 22:55

Mai fir tuta fir juda or firse toot gaya...
Tha dil me chupa jisko q vohi rooth gaya...

Uski thi ye mrzi yaa usne dia hai dhokha...
mujhe kuch bhi pata nahi ,kbhi sach toh bola hota...

Maine usse dil lagaya shayad meri galti thi...
Par toda usne jis trh ,itti kis baat ki jaldi thi...

Mai sabko use dikhata raha ,use apni raani batata raha...
Vo ab kisi or ki ho chuki hai ,or mai apni kismat ko khud mitata raha...

Naa jaane galti kiski thi, afsos mujhe to hota hai...
Nii dil lagana us zalim se, ab toota dil bas rota hai...

Nahi dia kabhi sath usne ,har vo pal yaad aata hai...
Sabke liye ladi vo par mere wqt use maa baap nazar ka pyaar nazar aata hai...

Are jab sab jaanti thi to q mujhe apna banaya tha...
Q dikhaye sapne mujhko ,q mujhe bewkuuf banaya tha...

Galti hui is baar mujhse duja na kabhi karunga...
Mar jaunga bin pyaar kiye par ab kisi pr bhrosa na karunga...

Maine chora tha likhna shayad teri hi khatir...
Tu qya jaane pyaar vyaar tu toh nikli badi hi shatir...

Jaane de sari baatein maine fir bhi tujhko maaf kia...
Khush rehna apni zindgi mein, Meri kismat ne bhi thk hi insaaf kia...

-


23 APR 2019 AT 22:51

Aapki yaadon me ham khoye hue kahan se kahan aagaye....
Kabhi roye to kabhi haste paas aapke kaise aagaye...

Aisa nahi hai ki yaad naa aati apki bas aapko dikhana nahi chahta...
Bahut intezaar kar raa dekhne ka aapko bas ab or ye batana nahi chahta...

Sach kahun to yaad jab aati aapki tasveer dekh lia karta hun...
Galti hui agr kabhi maaf kardena hame q ki mai aapko chahta hun...

Kabhi dil ruth bhi jata to usko bhi mana leta hun...
Qya karun aapke alawa koi khaas pasand nahi hame aapki tasveer dekh muskura leta hun...

Apne sataya bahut hai par fir bhi ye dil pighlta nahi hai...
Aagya tha jo aap par ab ye sambhalta nahi hai...

Waqt kuch kharab hote gaye aap hans kar kahi or chalte gaye...
Aap khush hote gaye hm aapke intezaar me bas rote gaye...

Hans kar hm aaj baat to karlete aapse dil bhi aap par hi tika ...
Andar se hm shayad tuut gaye kabhi kabhi lagta mera jazbaat hi bikaa...

Khush ho jate hm abhi bhi aapko hansta dekhkar ...
Aankho me tere ashq naa aaye kabhi hm mangte khuda se dua khudko chorkar...

Nahi janta sach me kaise mai sath rahunga tere , bas sath rehna chahunga...
Khudko tuuta bahut baar dekha ek baar fir hanskar dikhaunga,mai fir bhi tumko chahunga...šŸ˜šŸ˜˜ā¤ļø

-


9 APR 2019 AT 22:26

Tu hansti rahe mai hasata rahun,tu ruthti rahe mai manata rahun...
Tujhe man hi man yaad kar har ek pal bitata rahun,tujhse sab chupata rahun...

Tu jab hoti udaas to mera dil nahi lagta,naa jaane tujhme aisa qya dikhta...
Mai teri masuum si aankho ko dekh ghabrata,mujhe q usme vo pyaar nahi dikhta...

Tu jb ruth kar muh fula kar baith jati hai ye mujhse bardasht nahi hota...
Teri labzo pe ayi har baat me mujhe kuch khaas kahin lagta...

Mai tujhse ishq karta hun yaa nahi mai khud nahi jaanta...
Par jab tujhe kuch zraa sa bhi hota to mujhe bura bahut lagta...

Tu sath jab hoti to kuch or nahi dikhta,dikhti to bas tu or teri bholi surat...
Dusro k samne tu bnti bholi bhali par jb tu hoti sath akele to dikhti teri seerat...

Tujhe na choru kabhi aisa man mera kehta hai,teri chahat mujhe khich teri or laati hai...
Par jb tu hoti sath mere,meri hi mati mari jati hai,tujhe dekhta reh jata or aankhe meech jati hai...

Tujhe dekhta hu jb hnsta mere bhi chehre pe hansi aajati hai...
Tu bahut pyari lagti mujhko isliye jb tu dekhti mujhko, mujhe hi sharam aajati hai...

Mai tujhe dekhe bina ek din kaat nahi sakta...
Sanjo k rakha hu har tasveer ko sach me mai tujhe kisi se bant nahi sakta...

-


9 APR 2019 AT 21:08

Kash tum meri hoti tumhe plkon pe bitha kar rakhta mai...
Tujhe nihara karta , tujhe har dikkato se bacha kar rakhta mai...

Mai to majboor hun q ki tu meri ho nii sakti aisa tune pehle hi bata dia...
Fir bhi mai reh raha tere sath q ki anjane me mere bure wqt me ek baar tune mera sath dia....

Meri chahat thi ki tujhe apna bana lun tujhe sari khushiya dila dun...
Par ye sab ho nii sakta shayad bas isliye chahta tere sath khushi k kuch pal bita lun...

Mai aakhri dam tak koshish karunga ki tu meri ho jaye,naa hui to bhi koi gam nahi...
Q ki tu reh bas khush hamesha isse zyada mai kuch nhi chahta,tu reh jaye meri khwaish vo bhi kam nahi...

Mai bhi jaan sara sach khud ko anjaan bana baitha hun...
Q ki hasrat meri tujhe pane ki puri naa hogi maan chuka baitha hun...

Mujhe har wqt tera yaad aati hai, lekin haskar sab bhula deta hun...
Q ki fir yaad aati teri baatein jisse mai khudko khud hi rula deta hun...

Meri kismat nahi acchi ye to mai janta tha par itti buri hogi maine kaha jana tha...
Girte padte ladte har chiz se badhta chla mai ,mujhe qya pata ki ek din usse haar jana tha...

Yaad teri aati bhi to sb dil me daba deta hun ...
Tasveer dekhta teri or sab bhula deta hun...
šŸ˜šŸ˜˜

-


8 APR 2019 AT 6:20

Haar chuka hu wqt se mai ,ab jitne ki asha nahi...
Ab to shayad jeetne ki paribhasha bhi naa yaad sahi...

Thokar khata raha or chlta raha, zbrdsti soch rha tha ki sb aasan hai....
Jb padi asliyat pe nazara dekha ki sab sunsaan hai or asliyt bas shmshan hai...

Jin jin ko maine chaha har unse mai khaya thokar....
Parivar , dost ho yaa pyaar ab ghuum rha mai sab khokar....

Waah ri kismat mujhe pata tha tu mujhe apna fir ye roop dikhayegi....
Is baar sukh chuke sare aansoo is baar qya tu rulayegi....

Har baar mai ladkar nikl gyaa ab thk sa gya hun...
Ab taakat nahi ladne ki ab tujhse lad k pak saa gaya hun...

-


3 APR 2019 AT 20:48

Samjh nii aati takalluf tumhari aisi hai, muskura kar baatein to karti ho...
Ye sab dikhavti hai yaa sach me tum mujhe pasand karti ho...

Chehre ko padhna mujhe aata tha, tumhe dekh sab bhuul chuka hun...
Sochta tha insaan pehchan sakta mai,par ab seerat samjhna bhi bhul chuka hun...

Tumhe dekh dil kuch dimaag kuch or kehta hai...
Tu sach me meri hi hai yaa nahi ye soch dil or man baar baar behakta hai....

Maaf karna mai khud samjh nahi paa raha ,mai qya kar raha kidhr ko jaa raha...
Mai rehna chahta kareeb tere har pal , par har wqt aisa lagta mai tujhse duur jaa raha...

Mai shayad sochne pe majbuur hogya hun,tujhse khul k na puch saku naa dhang se kuch mai soch saku...
Mai qya karu naa samjh aaraha kuch, naa acche se jag saku naa dhang se so saku...

Tujhe udaas nahi dekh sakta isliye kuch bolne se bhi darta hun...
Or fir tu mujhe kahin chor kar naa chli jaye ye soch kr bhi mukarta hun...

Ab juch samjh nahi aaraha bas jo chl raha vo chlta jaaraha ...
Khush bhi hun or udaas bhi bas aise hi zindgi kat taa jaaraha...

Jisdin tumhe bhi chor jane ka man kare tum bhi jaa sakti ho,bas batakar jana...
Haa udaas rahunga kuch der ,par aisa naa karna bin wajeh tum fir sunaa kar jana...

-


2 APR 2019 AT 23:52

Mai nahi janta tu meri zindgi me aana munaasib smjhti yaa nahi...
Tu mujhse duur reh kareeb aana chahti yaa nahi...
Mujhe bas ye hai pata ki tu kisi k pyaar ki mohtaaz nii hogi...
Ye baat alag hai ki shayad tu meri mumtaaz nii hogi...

Sari baatein maine tumpe hi chor rakhi hein...
Sari raatein tumhe dekhne ki khatir jhanjhor rakhi hein...
Wqf aisa naa ho ki tu mujhse duur chali jaye...
Mai tujhe chahta reh jaun tu muh mod chli jaye...

In baato se mai bada dara krta hun...
Andheri raato me ashq liye soya krta hun...
Tujhe khush rakhne ki khatir har mod chlaa jaunga...
Chand taaro ka vayda naa dunga pr hr mukammal koshish kr jaungaa...

Kbhi koi ho dikkat ka saamna to kavhi darna nahi...
Sath milunga khada mai tere tu bas sath chlne se hichkna nahi...
Teri chanchal si niigahe mujhe hmesha yaad rahengi...
Teri mithi si muskarahat hamesha yaad rahegi...

Zamane se bhi lad jaun par tujhe naa chor jaunga,ye irada hai mera....
Bas tujhe bhi khushi kahi or naa milegi agar ye wada hai tera...
Tumse pyaar kr baitha isme hmari galti kuch nahi...
Tum chli jaogi fir bhi sach kahun to shayad koi gam nahi....

Dard hoga zraa par teri khatir hr kuch luta sakta...Tujhe pyaar or kaise jata sakta

-


1 APR 2019 AT 21:50

Teri yaadein samet aaj bhi tujhe pyaar krta hun...
Zulfuun se khelne ki chahat aaj bhi rakhta hun...

Tu duur bahut mujhse fir bhi apne dil k paas rkhta hun...
Sanjo k teri sari tasveero ko tujhe dekhe ki aas rakhta hun....

Teri hansi ko sunne ki khwaish har wqt hoti hai...
Tere sang hatho me hath daal manmaane taur se chlne ki khwaish har wqt hoti hai....

Teri aawaz sunne ka man toh har pal hota hai....
Tere ruthne par tere baalo ko sehla tujhe manane ka man har pal hota hai...

Teri zindgi me bas khushiyan ho ,gam sare mai le lun....
Tu bas hansti rahe to sare gam bhi mai hanste hanste seh lun....

Mai nahi jaanta q tu mujhe itti acchi lagti hai, mai khud hi smjh nhi paa raha....
Jise pyaar vyaar pe zraa sa tha nahi bhrosa vo khud kaise pyaar me padta jaa raha....

Har wqt to nahi par bewqt tujhe yaad karta hun....
Sach kahun to shayad mai tujhse pyaar krta hun....

-


24 MAR 2019 AT 21:03

Tujhe qya bataun kitta pyaar karta hun...Tujhe aye khroch bhi to andar se siharta hun...

Tu samjhti nii ki mera haal bura hai itte din se pakda bhi nii tujhe....
Tere aankho me naa jhanka kabhi naa tere baal ko sehla paa raha hun.....
Tu to hai apne dosto k sath khush par mai yha akele bas yaad kiye jaa raha hun...

Teri muskurahat or khatir jo ban sakega mai karunga...Bas tu udaas mat ho kabhi varna mai bhi shayad ro dunga....

Tujhe smjha samjha kar thk gya tu bura mat bol apne aapko par bura mujhe lagta hai...Tu sochti tu kehti khud ko par vo shabd mere dil ko bhi andar tk cheer deta hai....

Mai tujhe kabhi kisi baat se mana nii karunga jab tak vo galat naa ho ye mera vaada hai...Tu bas jhut naa bolna mujhe sach bata dena tera qya iraada hai....

Teri hansi dekh mujhe bhi khushi mil jati hai....Tu kuch kehti hai to un baato mei bhi kuch mithaas aati hai....

šŸ˜šŸ˜˜

-


6 MAR 2019 AT 23:16

Qya hun main ,kon hun main mujhe khud ye khabar nahi...
Jo aaya kuchalta chala gaya shayad kisiko meri fikar nahi...

Ye dunia sirf bewkuuf banati rahi or mai bhi hmesha banta gaya....
Samjh mai tab bhi sab raha tha par unki khushi k aage mai jhukta gaya...

Shayad unhe fikr naa hogi hmari khushiyon ki, q ki hum unke apne naa honge....
Par hame toh fikr thi unki bahut ,q ki unke bin hmare sapne naa honge....

Shayad vo mujhse kuch pyaar vyaar nii karti bas maze udati hai....
Rehti to vo khush aaj bhi apne purane wale k sath shayad ye jata kar mera mzaak udati hai....

Meri galti qya hai , bas itti si ki mai usse pyaar kar baitha thaa...
Yaa fir mai us pyaar ka iqraar kar baitha tha...

Kaash mujhme itti taaqat hoti kehta samne jaa kar ki tu mujhe bewkuuf q bana rahi....
Are nii karni thi koi baat yaa mulaqaat toh is kadar baar baar hansaa kar q rula rahi...

Maine kisi ka qya bigada jo mujhe aisa tazurbaa mil raha...
Mai to sabko hansata tha mujhe q rab ka aisa rutbaa mil raha....

Maula mujhse qya chahta hai tu bas itta bata de....
Yaa uske zindgi me mujhe ghulaa de yaa puri trh se hata de....

šŸŽ™ļøšŸŽ‰šŸŽˆšŸŽšŸŽŠ

-


Fetching Ashutosh Mishra Quotes