Ae Khuda, na jaane kis gunah ki saza de raha hai...
Dard main aur dard ki wajah de raha hai...
Chup ho kar bhi chilla raha hun,
Kyunki Aaj roshni main rehne wale ko andhera razaa de raha hai....-
Born to write
19teen
Taurus ♉
Shayar hun main
Instagram- ashutosh_dash__ read more
Likhta rehta jazbaat apne, jaana thoda to mehsoos kar...
Jod ke khudko tu mujhse, apne itr se mujhko mehfood kar...
Aur behtaar bann raha hun khudse, taaki teri umeedon pe khada rahun,
Tu baahon main samet apne, mujhko tu mehfooz kar....
-
Par abb bas Iltiza hai, tere dil ko sukoon sacha ho...
Main dua karta rahun, tera har ek safar acha ho...
Aur mere har ek ache karm ka tujhe bhaag mile,
Kyunki Pichla kal naa sahi, tera aane wala kal hardum acha ho....-
Khuda ki marzi hai sayad, tabhi tere purane dard main rehne laga hun...
Patthar saa main, aaj jazbaat ke paani main behne laga hun...
Aur kismat ka maara yun main, tere saath nai tha tab,
Sayad wahi gila hai khudse, jo ye aankhon ki nami sehne laga hun....
-
Ke Bina kisi darr ke, tu khul ke khili rehti...
Aankhen naa teri kisi illzaam se gili rehti...
Aur saja ke rakhta tujhko kisi nayaab muraat ki tarah,
Yaar, kaash tu mujhe kuch saalon pehle mili rehti....-
Mann ki uljhaan kya samjhaon kisko, meri soch ne meri raaton ko sard kiya hai...
Kisika bura naa karun bas eesi chaah main, khudko maine fard kiya hai...
Aur lagta hai, anjaane main kisika dil zaroor dukhaya hoga maine,
Tabhi to mere rab ne mujhe ye dard diya hai....-
Bhayabheet rehne laga hun aaj kal, tu damru naad se anukrant kar de...
Mann vichal prabal hai mera, tu aake ekaant kar de...
Naa chah hai mujhe kisi moh ka, naa maangu tujhse koi vardaan,
Bas haat pher le shir pe, aur apne bete ko shaant kar de....-
Yun to thodi dheemi hai meri mohabbat ki boli, mann kare to sunn lena...
Kaccha hun apne jazbaat zaahir karne main, tum chaho to ek rista bunn lena...
Chaand taare to nai, magar khairiyat se tumhe nawazunga hamesha,,
Agar kaabil samjho thoda, to mujhko ham-safar chunn lena....
-
Kabhi uss ne mujhse pucha nai, ki kaisa hun...
Uske jaane ke baad kya bina roye sooya hun...
Hasta dekh ujaale main mujhe, maan liya usne ki sambhal gaya,,
Kabhi aa kar dekha nai ki, raat ke andhero main kis kadar khooya hun....
-
Badi ajeeb si bechaini hai andar, najane kya ho raha hun...
Ghar ho kar bhi mera, be-ghar sa ho raha hun...
Galat main sahi aur sahi main galat ho raha hun...
Har kisi ki umeed ban, khud se be-umeed ho raha hun...
Aur kya bataun zamane ko, kis tufaan se bheed raha hun,
Khairiyat se bhari hai subha meri, magar raaton main be-haal ho raha hun....-