Derd diya tha,
Siskiyaan di thi,
Tumhare pyale main sharab thi shayad,
Tabhi to Suraj ko gali di thi,
Yad hai kabhi baithne nahi diya tha tumne,
Yad hai na fir tumhi ne kurasi bhi di thi,
Mizaz hi kuch aisa hai mera,
Mai maangne mai nai jeetne main yakin karta hu,
Ustad ne nahi,
GANI me ye Sikh di thi.-
Padha nahi???
Dhoka nahi denge,
Ab thak gae hai,
Khud se bhag rahe the,
Bus ab ruk gae hai,
Mashallah chehre par kya noor tha unke,
Nam mat pucho,
Wo samjh gae hai.-
Sun le Oye,
Na therik chodni hai,
Na quran chodna hai,
Har sajde main yaha ki mitti chumi hai,
Maine kaha iman chodna hai,
Tu puri jan lagake koshish karle,
Maine na Islam chodna hai,
Na hindustan chodna hai.-
Wo unhe gairon ka kandha nawaz deta hai,
Jinke apne kabr khodne Main mashroof hote hai.-
Wo masum sa bacha nahi tha,
Jo tumhari jhalak ke liye milon aajata tha,
Ghanton intazar karta,
Milne par sirf manata,
Jate samay ladta fir Milne par manata,
Mar gaya kab ka,
Ye zakham tum bazar main dikhate fir rahi ho na,
Ye tumhara apna hai,
Mera to bhar gaya kab ka.-
Kahi jawan dharm puchkar goli chala raha hai,
Kahi atankwadi dharm puchkar goli chala raha hai,
Yar ye desh kon chala raha hai??
Kahi budha bap apni beti ke nikaha ke liye thode paise juta la raha tha,
Kahi adhed umar ka joda chutti mana raha tha,
Itihaas bhi puchega,
Us waqt desh kon Chala raha tha??
56 inch ka sina election campaign Main nazar aaya,
Chanakya budhi red carpet par shradhanjali de aaya,
Pani rokne kahu to main koi yajeed nahi,
Faisla lene ki takat tumhare pas hai wahi karo jo lage sahi,
Dekhna Zara mulk ka mahol bigadne lagega,
Yar ye desh kaise chalega??-
Wo khumari main,
Kale hue hai,
Hum gurbat mai,
Bus izzat sambhale hue hai,
Kon kitna das sakta hai,
Jante hai hum,
Ye sale humari aasteen ke pale hue hai.-
Aage bhi yakeen karenge,
Pehle bhi yakeen Kiya hai,
Lekin pehle parkh to lein,
Aasteen main kya hai.-
Sawal wo puch rahe hai,
Jo mayne nahi rakhte,
Our jo kichad uchal rahe hai,
Wo shayad gharon mai aaine nahi rakhte.-