Ashmeera Saba   (🍁©—Ashmeera Saba)
2.9k Followers · 3.4k Following

🍁
Writing is alive experience. ♥
Joined 12 January 2018


🍁
Writing is alive experience. ♥
Joined 12 January 2018
21 SEP 2020 AT 13:05

& that last breeze of feet
will vanish unnoticed•


🍁©—Ashmeera Saba

-


19 SEP 2020 AT 23:46

Humans are HUMANS.
They deserve same respect, comfort,
sound care & humanity,
No matter you know them actually
or so not personally. 🍁

🍁©—Ashmeera Saba

-


18 SEP 2020 AT 19:23

Allah is our creator, his plans for us are vast, larger, depthful & divine.
We always have options to choose right core of action and that decides our Destiny.

🍁©—Ashmeera Saba

-


17 SEP 2020 AT 22:48

Naeki mai Takhair Na karo.

نیکی میں تاخیر نہ کرو-


🍁©—Ashmeera Saba

-


15 SEP 2020 AT 20:16

Lockdown ki wajah se log ek dusry ki madad kar rahy hain, khany ka samaan, paisy zarooratmandon tak pohncha rahy hain. Kuch Logon ki bhot buri halat hogyi hai, unki ghareebi—unki mohtaji—unka khana —unki zindagi— Allah ki panah!!!

Aisy mai majboor logon ko milny wali madad se najayaz faida mat uthaiye.
Na rashan control par
Na shop mai keemat badha kar
Na kisi gov. Person ki haisiyat se.

Ye waqt sath deny ka hai,
Faida uthany paisy kamaany ka nhi.


🍁©—Ashmeera Saba

-


15 SEP 2020 AT 16:52

Jab ankhain sadiyon se band hoon
to andhery ki aadi ho jatin hain.
Agar ek dum se aankh khuly
to roshni bhi chubhti hai
Par ye aagy aany waly
waqt ke liye
zaroori hai.


🍁©—Ashmeera Saba

-


15 SEP 2020 AT 16:01

وہ شخص ہی ﻧﺼﯿﺤﺖ ﺳﮯ ﮨﺪﺍﯾﺖ ﺣﺎﺻﻞ ﮐﺮﺳﮑﺘﺎ ﮨﮯ
جو اللّٰهُ کے سامنے اپنا دل کھول کر رکھ دے۔
اللّٰه کے سامنے ہم کب حاضر ہوتے ہیں؟
جب ہم ٹوٹ مکمل چُکے ہوں،
جب ہمارے پاس اپنا کچھ نہیں رہتا،
جب ﮐﻮﺋﯽ بہت بڑی ﺍﯾﺬﺍ ﺍﻭﺭ ﺗﮑﻠﯿﻒ ﭘﮩﻨﭽﮯ، جو برداشت کے باہر ہو،
جب کوئی بہت بڑی نعمت چھینی جارہی ہو،
جب درد خود کا ہوتا ہے تب احساس کی گہرائی پتہ چلتی ہے تم ﺍﺱ ﻣﯿﮟ ﮐﻮﺋﯽ ﺧﻮﺑﯽ ﻧﮩﯿﮟ—


🍁©— اشمیرا صبا

-


15 SEP 2020 AT 9:35

Namazon mai sajdon mai to Allah se baat hoti hai.
Or masoom insaan khuda tak rasai ka zariya hain.

🍁©—Ashmeera Saba

-


14 SEP 2020 AT 23:03

Dhalti shaam ke char paher mai
samander ke dil registaan° mai
Oos ki chaar boond jitni dhoop hai meri

Garmiyon ke mehmaan° badal
jab kinary aajaty hain
patwaron ki murli dhun par
panchhi lehron se takraty hain

Gaon ki pagdandi jab mitti mitti hojati hai
salona sawan usy bahaa kar
beech samandar lejata hai
tab chhan-chhanaata dhuan
pedhon ki jhuki gardan se lipat kar
dekhta hai pury par phailaye aasmaan ka tandav

Tab khilkhilaati barish
apny paron ko samet kar
utpann karti hai zameen ki mohabbat—
haryali, naimat, yakeen or bahar rut jab
sehaj kar utarti hai tab
mitti ki chahat or
samandar ka ishq
masoom bahar ki zulf ghata par
Do Dhoop ke mooti rakh deta hai.


🍁©—Ashmeera Saba

-


14 SEP 2020 AT 20:56

Kuch phool
haya ki tamazat, diyanat ki lukn mitti
or
wafa ki khushboo
na milny se hi
murjha jaty hain.

🍁©—Ashmeera Saba

-


Fetching Ashmeera Saba Quotes