Zaruri nhi ki pagal sirf mental hospital mein hi paaye jaate hai, bahar dkhenge to Har koi kisi na kisi cheez ke liye pagal hai,
koi pyaar ke liye pagal, koi paise ke liye,
Koi safaai ke liye pagal hua pada,
Kisi ko bewafa mili, uske piche pagal bana pada, to koi nashe ki lat mein hi pagal hai,
Fark bas itna ki wo hosh kho dene se pagal hai or ye hosh mein hone ke baawjood-
Musafir hu yaaro, chalta chala ja rha hu,
Aashiyana to hai magar,
khud ka aasmaan banata ja rha hu,
Janta hu me,
Janta hu me, chalte chalte sankat ke baadal bhi mandrayenge,
Pal pal mein har dagar mjhko ye darayenge,
Rukna mera kaam nhi, gir bhale me jau,
Beshak hoga ye manzar ek din,
Wo saare kaale baadlo ko chhaant'ta chala ja rha hu,
Musafir hu yaaro, chalta chala ja rha hu-
Har rishte ki garima ko dhyan mein rkhte hue uski ehmiyat ki smjh zarur honi chahiye,
Warna unhi Rishto mein "aap" se "tum" or "tum" se "tu"
Tak pahuchne mein der nhi lgti-
Mjhe Wo tere har din ke msgs paane ki aadat,
Wo mera tjhe shiddat se chahne ki chahat,
Wo tera mere karib hone se dil ko milne wali rahat
Sab chhin sa gya, ab nhi kch aisa zindagi mein shayad
Kitni jaldi badal gya na sab,
Wo ph jo kbhi aksar utha krta tha tere sandeshe dkhne ke liye, aaj khali sa pada rhta hai,
Wo dil jo bhara rhta tha teri chahat se, aaj sirf or sirf tadapta rhta hai,
Wo rahat jo mjhe milti thi tjhe manane se,
Wo bhi to ab na rhi, ek tere jaane se
Q kiya tune aisa, ye sawaal ab bhi hai,
Mann mein uth rha toofaan ka ye bawaal ab bhi hai
Har fasana ab jaise ban gya ho qayamat
Sab chhin sa gya, nhi rha kch phle jaisa zindagi mein ab shayad-
Wo bhi ek daur tha ye bhi ek daur hai
Kal koi or tha aaj koi or hai
Ye to waqt ki fer-badal hi hai janaab,
Kal tak tha jo rank,
Aaj bana baitha wo sirmour hai-
Agar akele mein baithe baithe yuhi kbhi humari wafadari pe shak hone lge,
To toss krke dkh lena,
Yadi head aaye to hum acche,
Or agar tail aaye
.
.
.
.
.
.
To sikka palat dena yar,
Akele mein kon dkh rha hai 😁😁-
Ab to aalam ye hai sahab,
Ki dil ke zakhm ab sehlaane se nhi,
Balki unhe kuredne se rahat milti hai-
Tu ho gyi bhale hi meri nazar se kahi ojhal,
Par teri ek-ek jhalak ki shirkat mjhe aaj bhi hai,
Bhale hi mohabbat ke badle dhoka kiya tune,
Khush rhe aabaad rhe ta'umar tu
Meri ye dili hidayat tjhe aaj bhi hai,
Kaash Wapas aa jaye tu, jis raah pe mjhe tanha kiya,
Ye mukammal-e-shiddat mjhe aaj bhi hai,
Or ha,
ha agr na ho bharosa, to aazma kr dkh,
Ki chah kr chahe fir chhod jaana tu,
Dil tod tjhe jaane ki ijazat aaj bhi hai
-
Kbhi kbhi baat-baat pe,
bina baat ke, baat krte hue
baat ki gambhirta ko jaane bina,
log apni alg hi baate dene mein mashgul ho jate hai,
btaiye ye konsi baat hui bhala!!!-
Aag ko uski tapan btane ki zarurat nhi padti,
Barf ki vishaal'kaay chattaan se uski thandak puchne ki zarurat nhi padti,
Hum to fir bhi mitti ke bane putle hai,
Par fir bhi kbhi kbhi na jaane q,
daastaan-e-dil bayaan krne ke liye, alfaazo ki zarurat nhi padti
Khamoshiyan bhi aksar bohot kch keh jaati hai
-