Ashhar Faraz   (Faraz ki Awaaz)
2 Followers · 8 Following

read more
Joined 9 August 2018


read more
Joined 9 August 2018
9 AUG 2023 AT 14:50

Har taraf andhera sa ho gaya hai,
Raasta Safar ka ek jhatke me kahi kho gaya hai,,
Na Jeene ki khwahish na marne ki himmat, Kiya karu kaha jau kuch samjh nahi ata,
Saanse chalri hai bas, jism to jaise kahi dafan ho gaya hai..

-


27 APR 2023 AT 11:09

Kitni bhi aaye pareshaniya Mai darunga nahi,
Khuda ne Jo jayez kaha hai Mai karunga vahi,,
Badal na du jab tak apni qismat aye perwardigaar,
Qasam hai Teri mai maroonga nahi...

-


4 APR 2023 AT 22:55

Sheheron ke naam badal diye ab or kiya kiya badlao laoge,
Saatva ajuba banane wale ka naam mita kar kya tum itihas badal paoge,,
Sach chupa kar aane wali naslon se,
Kya aise tum apne parcham lehraoge,,
Mazhab ke naam pe ladwa kar tum kab tak apni kursi bachaoge,
Jis din Hindustani samjhega tumhari siyasat ko,
Arsh se sidha farsh par patak diye jaoge,,
Itihas mitane chale the itihas ban kar hi reh jaoge..

-


3 MAR 2023 AT 18:52

Maine ek khwab dekha tha Jahan sab sath the..
Bachcho ki kilkariya, badon ka saya or ghar abaad the,,
Ha kuch kaha suni hoti, kabhi man mutaav bhi hote,
Magar zaroorat padne pe kaandhe se kaandha or haantho me haanth the..
Maine ek khwab dekha tha Jahan sab sath the...

Sonchta hu agar sab sath hote to kiya manzar hota..
Sab sath baith kar khaate, maa baap ki vo baatein,,
Din me sab kaam pe chle jaate fir raat ko sab milkar jamghata lagate,
Bimar hota koi to kisi or ki zaroorat na hoti,
Miljul kar paka li jaati teen waqt ki roti,,
Jab office me kaam zyada hota or ghar lautne me der hoti,
Ek traf maa to dusri traf biwi alag pareshan hoti,,
Vo chuttiyo me sab kahi ghumne ka plan banate,
Soncho tickets bhi darjan ke hisaab se book karate...........

-


9 FEB 2023 AT 10:38

Maine koshishein hazaar ki hai,
Fir bhi naa jaane kyu haar mili hai,,
Kisko samjhau ki mai mehnat se nahi bhagta,
Fir bhi ye lafz mere piche kitno ne kai baar kahi hai..

Halaat e zindagi se mai ladta aya hu ladta rahunga,
Mere haunsle ko kuch baaton ne bezaar kari hai,,
Jo hua haasil khud se hi hua ab tak ae faraz,
Na jaane kyu aap logo ne fir bhi auron se madad ki guhar kari hai..

Sath tumlog ho to manzil tak pahunch hi jaunga,
Apno ki duaon se or Uske karam se maine kayi toofane paar Kari hai,,
Bure waqt me bhi haar nahi maani ae faraz
Isi trah se to maine unchi unchi pahad chadhi hai..

-


24 OCT 2022 AT 20:47

Aadhi zindagi dekhi hai maine,
Ab lagta hai kahi door jaakar kho jaau,,
Yaha sharifon ka guzara bohot mushkil hai ae faraz,
Mann hota hai safed libaas odhu or gehri nind so jaau...

-


18 JUL 2022 AT 22:23

Har kisi ke zindagi me bohot tanaav hai,
Honto pe muskurahat peeth pe gehra ghaav hai,,
Hud-dang machi hai samandar paar kaise ho,
Laakho hai majlis mein or bas ek choti si naav hai..

-


15 JUL 2022 AT 0:43

Manzil ki fikr mein har raasto pe chale the hum,
Apnon se zyada ghairon se mile the hum,,
Ek umr guzar gayi raushni ki talaash mein,
Zara der se mila ujala, Jaa chuke the hum..

Apne hi halaaton se kayi baar lade the hum,
Lafz hote hue bhi Chup chaap khade the hum,,
Kuch iss trah faisla kiya mere muqaddar ka,
Hawa me sikka jaise uchaale gaye the hum..

-


1 SEP 2021 AT 15:44

khwab jo dekhe the maine apne soyi raato me,
kuch haasil hue kuch bikhar gaye,,

izzat ki imaarat banayi thi maine apne achi baato se,
kuch bane rahe kuch toot gaye,,

ha dost banaye the maine dil ke in jazbaato se,
kuch sath chale kuch chuuth gaye,,

chiraagh jalaye the maine andhero ke sannato me,
kuch jale rahe kuch bujh gaye,,

alfaaz sajaye the maine saundhi si barsaato me ,
kuch yaad raha kuch bhool gaye,,

ki thi ladaayi maine bhi, apne hi halaaton se,
kuch jeet gaye kuch haar gaye..

-


12 FEB 2021 AT 22:25

HAAN MAIN BEZUBAAN HOON..

Phoolo se ghira mai khali guldaan hoon,
Jaha paani na mile mai vo registaan hoon,,
Na puch mere chup rehne ki wajah ae faraz,,
Main lehje se shayar or lab se bezubaan hoon..

Jaha koi pahunch na sake mai vo chadhaan hoon,
Kabhi badnaam hu to kabhi sukoon de jaye vo azaan hoon,,
Nahi samjh aata mujhe tumlogo ke jeene ka saleeqa ae dost,,
Shayad islye me sab jaan kar bhi bezubaan hoon..

Maa Baap ka main abhimaan hoon,
Khwahishon ko dafnane wala mai qabristaan hoon,,
Koi kuch bhi keh jaye farq nahi padta mujhe sunlo,,
Muskurahato se bhara chehra phir bhi bezubaan hoon..

-


Fetching Ashhar Faraz Quotes