Zid se tere ho ke majboor mai,yuh tooth jaon ke juddh na saku..
Kuch is tarah nazdeek aa,mai khud me tujhko sunu..
Ab na ho riwazo ka parda koi ,Or naa purani koi rasm ho..
Dewangii Thame hue,tera mera jism ho..-
Ajib reet hai na Jane kaisi is zamane ki ,
Kya bataon kya saza milti hai dil lagane ki.
Kaha maan lo ,naa basana kisi ko dil me itna,
Ki phir dua mangnii pade usko bhul Jane ki..
-
Nikal laya hoon ek pinjre se ek parinda ,
Is parinde ke dil se ab pinjra nikalna hai ..
Khayal hai khandaan ko ittilaa de doon,
Jo kat gaya us shajar ka Shajara nikalna hai ..
-
Tu apnii sheeshagari ka hunar na ker zaaya,
Mai aaina hoon mujhe toothne ki aadat hai..
Ab mai kya kahu ki mujhe sabr Kyon nahi aata,
Kya karu ke tujhe dekhne ki mujhe aadat hai ..-
Shab-E-gham ki sahar nahi hoti ,
Ho bhi toh mere dil se nahi hoti..
Zindagii ab tu hi mukhtasar ho jaa,
Shab-E-gham meri mukhtasar nahi hotiii..-
Mujhe Gila nahi ki mere haal per hassi duniyah,
Mujhe Gila toh yeh hai ki pehlii hassi tumharii thi..
Bichadh ker tumse khiza ho Gaye toh yeh jana,
Hamare husn ki sari dilkashii tumharii thi..-
Bagair usko bataye nibhana parhta hai ,
Yeh ehsaas ek raaz hai isko chupana parta hai ..
Mai apne zaihen ki zidd se bahut pareshan hoon,
Aahat koi bhi ho ,tere khayal ki chaokhat per aana parta hai..-
Tanha hi sahi , ladh toh raha hai woh akele,
Bus Thak ker gira hai ,abhi haari toh nahi
-
Hum yeh dukh oodh ker khilwat me baithe rahe,
Per humne bazaar me zakhmo ki numaish nahi ki..
Yeh bhi kya kam hai ke dono ka bharam kayam hai
Usne kabhi bakhshish nahi ki humne bhi kabhi guzarish nahi ki..-
Adaavatein thi , Taghaaful thaa..
Ranjishein thi magar..
Bicharne wale main sab kuch tha..
Bewafai na thi ..
-