Mehmaan "RAMADAN" nahi ,
Balke hum hain
RAMADAN toh agle saal v aayega ,
Sawal yeh hai ke kya hum mojood honge ...-
Alhamdulillah
Fir se ek bar naseeb hui,
Waqt hai thehar jao ,
seham jao ,
Gunahon se paaki hojao
Ab kar lo emaaan ko taaza,
Mauka naseeb hua hai
Fir se
Sukhr hai uss awwal Paak Jaat hai,
Jo hai ab meharbaaan
Ke mila fir se ye muqaddas mahina
Jise emaan wale kehte hain Ramadan
..
💫 RAMADAN KAREEM 💫
-
Maana kehta hazar baat hai yeh dil,
Par samjhayein kaise ke bhara isme jazbaat hai ,
Jo bayan karna hai muskil ,
Qaatil bhari adayein Teri hai aaj v yaad mujhe ..
Nahi bhula ab tak pichli mulaqaat maine,,
Taraste nigahon ko aaj v Teri pukaar hai,
Tu maane ya na maane yeh sacche jazbaat hain,,
Shayad mumkin nahi milna yahan hmara ,
Kahin na kahin kuch tere toh kuch mere aadat kharab hain...
Yun toh Ishq ki hai intehan,
Par ab v baaki gairat-e- jazbaat hai,,
Na samajhna ke badal gaya ya kho gaya kisi aur ki baahon me ,
Zara sun toh
Mujhe aaj v Teri mehak
Woh Nasha aur Qurbat
Achi tarah se yaad hai ...-
Kaise karun bayan ,
Daastan tere husn ki,
Tu mehakta gulaab sa,
Dikhe tu khila aftab sa,
Resham sa badan tera ,
Mano tarasha hai
fursat se yeh badan tera ,
Ankhiyan Teri gehri nashili si
Uspe Lehrate kaale kaale julfein,
Paas aati toh khojayein bas tere itr jaise khusboo me ,
Tujhe maana khaawb ,
Dar haquiqat tu hai sawab sa,
Bas raha nahi jata aur door ,
Teri shakshiyat hi hai lajawab sa ..
Maano ke
Tum husn pari , Tum jane-jigar ,
Tum sabse haseen ,
Tum sab se jawaaaann..
😜-
Sikhwa kaho ya shikayat,
Hai ulfat ka taqaza ,
Par jo hone lage bejaar ,
Dar-asal wohi hai aazmaish ka mukhtaar ,
Mohabbat ki raah me
Jab tabakku na mile jaani,
Toh karein khamoshi akhtiyar,
Aur kha-ma-khan se behtar hai
Us gali se dafa hojayein ,
Aur fir karwat hi na lein mere yaar ...
-
Bejubaan ko pyar Diya Jaye
Toh da-umr pas rehjata hai,
Par barso inshano pe lutaya jaye ,
Tab bhi gair kehlate hain ..-
Khamoshi se agar sunta hun ,
Toh paaltu samajh liye ,,
Izzat karta raha , Piche bhagta raha ,
Toh bhokne wala janwar samajh liye ,,
Mat aazmana mard ke ana ko,
Uski bardast jis pal hui khatam,
Fir us jaisa angaar kabhi na dekhe hoge ,
Jo Bina aag ke sehlaav aur bhabandar paida kar sakta hai ..-
Jab tak Izzat karta hun , ,
Bardast bhi tab tak,
Shant hun toh halke me na lena ,,
Jis pal Sabar toota ,
Fir meri hazar achai bhi buri saabit hogi..
-
Wazu ka pani hai jubaan per,
Ab koi pyaas ki shiddhat ka haal na pucho ,
Mohabbat hai apne rabb se islye utre na yeh Pani ka ek Katra v halak se iska koi Kamal na pucho ,
Yahi toh shaan hai mere huzoor Mohammad صلى الله عليه وسلم ki,
Ke ab tum ummat-e-mohammadia ke sabar ka misaal na pucho ...-
आगयी फ़िर से वो रात,
हुई आज से मुबारक महीने की शुरुआत,
दुआ ना जाएगी किसी की खाली,
अगर दुआ में होगी जायज़ मुराद और तड़प की आगाज,
बेशाक़ ज़हीर-ओ-बातिन का है उसको इल्म,
कादिर है वो हर एक पर..
खलिख चाहे के बंदा मांगे,
वो मालिक बेनियाज है,
रमज़ान-उल-करीम
मुबारक
🤗-