Zindagii kiyaa kahun ab mein tere baare mein
Wo loag hi bichar gae jo zindagi hua karte the
Subho shaam guzarti thi jinke qareeb ye zindagi
Aaj bhulaa bethe hain hamain ek buri yaad ki tarha
Yaad aati hai ab jo unki mujhe andheri raat me
Ro liya karte hain thoraa kisi andhere kone me
Farq nahi parta ab unko in bahaae ashkon kaa
Jo mera ek ashk behne par pareshan hua karte the-
Zindagi ke wo kuch lamhe jo guzaare the sath humne
Yaad aate hain tou chalak jaati hain aankhin aaj bhi
Nahi socha tha bicharne ka tumse kabhi mene oo roohdaar
Qasimat ke faislon ko ab tak magar rok saka na koi
Milunga mein tumse laazmi ek shab e roz kisi raah par
Kaat raha hun aaj bhi dinn usi pal ke me intezar mein-
Kehtaa nahi hun kisi se magar
Aaj bhi wo bohat yaad aate hain
Unhe har mehfil me yunn tang karnaa
Aaj har mehfil wo phir yaad aate hain
Hamare cherne par unka wo chirr jana
Chirr kar yun hamain baatain sunanaa
Aaj jab bhii mehfil me bethun tou
Wo awaaz yun bohat yaad ati hai
Bichre hue unko 7 baras beet chuke hain
Lagta har mehfil me aaj bhi wo sath hain
Yaad aati hai wo hastii mujhe aaj bhi
Jinhe me mamoo kaha karta thaa
-
Bhulaa nahi hun tuumhe mein
Aj bhi saath ho tum harpal mere
Ek baat bss mujhe ye tarpaati hai
Na tere binaa rehna seekh paya hun
Aaj bhi har shab tujhe mehssus me sath karta hun
Aaj bhi me tujhe har pal apne sath rakhta hunn
Jaane kab milan hogaa wo din kab aaega
Jab khul keh paaounga kitna pyaar me karta
Gae the chor kar jab mujh ko tum
Bol bhi naa me us waqt pataa thaa
Aaj jab bolnaa seekh chukaa hun me
Tou tum nahi ho yahan paas mere
Yaad bohat tumhari mujhko aati hai
Dil ko dilaasa me phir dedeta hunn
Ek din zarur tou aae gaa jab
bas sath mere tum hoge
Miss you dad ❤️-
Dil ke kisi kone main
Yaad teri maine chupa rakhi hai
Bhoola nhi tu bhi mujhe
Batein maine bana rakhi hain
Sargoshi main q lon naam tera
Tere liye maine haya rakhi hai
Bhoola nhi main bhi tujhe
Maine apne liye saza rakhi hai
Kahani kahan khatam hoti hai
Poori nhi har qasm hoti hai
Phir milenge ajnabi ki tarah
Issi aasre dil main subah rakhi hai
-
Baap ki mojoodgi hum bachon par
Kuch sooraj ki maanind sii hoti hai
Sooraj garam zarur hota hai magar
Wo naa ho tou andhera chah jata hai
-
تیری جستجو میں نکلے، تو عجب سراب دیکھے۔
کبھی شب کو دن کہا، کبھی دن کو خواب دیکھے۔
میرے دل میں اس طرح ہے، تیری آرزو خراماں
کوئی ناز میں ہو جیسے، کھلی کتاب دیکھے۔
جسے کچھ نظر نہ آیا، ہو جہان رنگ و بو میں
وہ کھلا گلاب دیکھے، وہ تیرا شباب دیکھے۔
مجھے دیکھنا ہے جس نے، میرے حال پر نہ جائے۔
میرا ذوق و شوق دیکھے، میرا انتخاب دیکھے۔
-
Woh sath tha Hamary
Ya ham paas thy us ky
Woh zindagi ky kuch din,
Ya woh zindagi thi kuch din...!!!-
Haan baat bhale mere dil ki thii
Par muskuraa ke aage barh gaya
Us chashme baddoor ko chor kar
Ek nae safar pe mein nikal gaya
Haan rakhe the hazaaron patthar dil par
Par phir ek sachaa saathi mujhko mil gaya
Haan samajh phir mujhko ye ayaa
Laa hashil ko yaad kar rona kya bhala
Jab kisi ka sath hii jeena tum ko sikhaa jataa
Jab kisi ka sath hii dil ka har zakham bhar jata-
Neend ki aagosh se ek dum jaag utha me
Dekha jo esa neend me khuaab mene
Khud ko jo mene haal behaal yunn dekha
Kashmakash mein me parr gaya hunn
Zindagi ke is kathinn safar mein
Naa haar me manna chahta hun
Jo thak gaya hun zara tou kiyaa
Phir chal uthunga ek subha ke sath
Ye dilaasa arse se de raha hun khud ko
Naa jaane phir kab wo subhaa hogii
-