Zindagi bahut shaant thi,
Ek tehre hue samandar jaisi thi,
2 baaton se jyada kisi se bolna tha ni,
Na milne ke bahane humesa zubaan pe rehte the,
Na jyada socha krta tha,
Na jyada khush rehta tha,
Par jo bi tha zindagi bahut shaant thi,
Socha krta tha ki sayd yahi zinadgi hai..
Ek tehre samandar jaisi hi hoti hogi sayd sabki jaisi..
Par ek roz aisa aaya..
Jab Pehli baar 2 se jyada kisi se baate hui.
Chup rehne wala ladkaa aaj bolna seekh gya tha.
Baaton ka ehsaas itna acha hota ye Jaan chuka tha Pehli baar..
Zindagi jo tehra samandar tha
Wo bi behna seekh gya tha..
Baaton se milne tak ka safar Kab Aa gya pta hi ni chala
Sayad samandar ka bahaav Tezz ho gya tha..
Zindagi tezi se badne lgi thi...
-